Posts

Showing posts from October, 2013

Khud Lazzati (Jalaq) Musht Zani In Urdu

Image
Khud Lazzati In Urdu What Is Khud Lazzati Khud Lazzati Ka Ilaj In Urdu Khud Lazzati Ka Ilaj Kese Mumkin Hai?  noor clinic education noor clinic 26 sala Nomi elaj kay liye merey clinic aaya. Masley ki tafseel batatey huey uss ney bataya kay woh bohut kamzor ho chuka hai. Din ba din uski mardana quwwat khatam hoti ja rahi hai aur ab woh biwi kay qabil nahin raha. Usey shadeed ehsaas e gunah bhi tha, ek baar khudkushi ki koshish bhi kar chuka hai. Uss ney bataya kay woh musht zani ka shikar hai aur koshish kay ba wajood isey chor nahin saka. Mani kay ikhraj ka teesra aur ahem zarya khud lazzati aur musht zani hai isey hathrasi, aur dastkashi bhi kaha jata hai. Khud lazzati aur musht zani mein ma'amooli sa farq hai. Khud lazzati sey muraad yeh hai kay fard mubashrat kay elawa kisi bhi aur tariqey sey mani kharij karey. Khud lazzati ka sab sey ahem zarya musht zani hai. Musht zani sey muraad apney hath sey ya kisi doosrey kay hath sey mani ka ikhraj