Mukhtalif Kisam Ki Bemariyan aur Un Kay ilaj

Bimariyan Aur Unka Ilaj In Urdu

Baal Girne Se Rokne aur Ganj e Pan Ka Tibbi ilaj

Aam Bimariyan aur Unka Ilaj In Hindi




8 Chammach (spoon) zaitoon (olive) kay garam kiye hue tel mei 1 chammach asli shehad aur aik chammach pisi hui dar cheeni(don't know what we call it in English) mila len aur jahan k baal jharte hon ya ganj pan ho wahan khoob maslen aur taqreeban 5 minute bad dhoo len ya naha len, bacha hua tel ko dobara istemal kiya ja sakta hai inshallah 12 din k ander farq zahir hone lage ga 12 bar durood shareef aur 12 bar bismillah shareef istemal se pehle.

Khansi Ka ilaj

Rozana kishmish(raisins) k 40 daane (agar mawafiq aate hon to dugne karne mei harj nahi) aur 3 badaam (almond) le ker us per 11 bar darood shareef parh ker dam kar kay khaa li jiye us k uuper do ghante tak paani na piyen insha Allah khansi mein buhat faida hoga ek bar balgham bane ga phr mazeed nahi bane ga.


Gurde Ki Takleef Se Bachne Ka Nuskha

Fajr k baad aur asar k baad aik cup neem garam pani mei 1 ya 2 chaaye k chammach(spoon) shehad(honey) daal ker pi len.

Mayde(peth) ki tamam tar bimariyon k liye
Khane k awwal o akhir namak chaat len.

Bypass Ke Operation Se Bachne Ka Nuskha




1- Limon ka juice aik piyali 2- adrak ka juice aik piyali 3- lehsan ka juice aik piyali 4- seb ka sirka (apple vinegar) Yeh charon juice yatja kar k halki aanch(light flame) per adhe ghante tak ubalen. jab aik piyali k barabar juice kam hojaye to choolhe se utar ker use thanda hone den, jab thanda hojaye to 3 piyali shehad is mei hal kar len. is tamam mehlol(mixture) ko yakja kar k sheeshe ki bottle mei mehfooz kar len. rozana subah nihaar moun 3 khaane k chammach(spoon) yeh mehlol(mixture) pee len. Allah k karam se dil ki janib jaane wali tamam band sharyaanen khul jayen gi (yeh nuskha tajurba shuda hai) kam az kam 3 months lagatar(continuous) piyen. (Namak aur chiknai se parhez) Awwal 12 bar durood shareef aur 12 bar bismillah shareef istemal se qabl.

Sugar aur Kharish Ki Bimariyon Ka ilaj

1 mutthi paneer(cheese) raat ko pani mei bhigo dein subha uth ker pehle paneer k daane hath se masal len phir achhi tarah chhaan ker piyen (awal 12 bar Durood Shareef aur 12 bar bismillah shareef) yeh amal nihaar moun rozana karna hai.

Sir Dard Kay 6 Moasar ilaj

1- Ager kisi ko adhe sar ka dard ho to aik bar Surah Ikhlas(Awwal akhir aik bar Durood Shareef) parh ker dam ki jiye, hasb-e-zaroorat 3 bar 7bar ya 11 bar isi tarah dam kijiye 11 pore hone se pehle hi inshallah adhe sar ka dard theek hojaye ga


2- Garam doodh mei Desi ghee mila ker pene se bhi fayda hota hai


3- Nariyal(coconut) ka pani peene se adha seesee (yani adhe sar ka dard) aur poore sar k dard mei kami ati hai


4- Para 27 Surah Waqia ki ayat number 19 3 bar (awwal akhir 1 bar darood shareef) parh ker dard-e-sar waale per dam kijiye. inshallah faida ho jayega


5- Surah Naas 7 bar (awwal akhir 1 bar darood shareef) parh ker sar per dam ki jiye aur agar abhi dard baaqi ho to doosri bar bhi isi tarah dam kijiye- agar ab bhi dard ho to teesri bar bhi isi tarah dam ki jiye


6- Zabaan per aik chutki namak rakh ker 12 minute k baad 1 glass paani pee len sar mei kaisa hi dard ho inshallah afaqa hoga (High blood pressure k mareez k liye namak ka istemal nuqsandeh hota hai)
.

Comments

Popular posts from this blog

Aankhon Ka Phadakna Kya Hai Eye Twitching Causes and Facts Aankhon Ka Fadakna Haqeeqat aur Ghalat Fehmiyan

Hips Badhane Ki Cream Hips Mote Kaise Hote Hain Hips Badhane Ke Tips Peeth Me Dard Ka Ilaj Hips Bada Karne Ki Medicine

Badhazmi Ka ilaj in Hindi Khatti Dakar and Loose Motion Acidity Treatment in Hindi Khatti Dakar Ka Gharelu ilaj