Posts

Showing posts with the label hath chalaki

Musht Zani Kay Barey Mein Tafseeli Article

Assalamu Alaikum Dosto Umeed hai ap bhi khairiyat say hongay aur main bhi khairiyat say hon.meri is post banay ka maqsad hai kay main aap ko musht zani kay barey main agah karon kay yeh kya cheez hai aur kia yeh achi cheez hai ya buri cheez hai kia yeh karni chahiye ya nahi? ya is kay karne say nuqsan kia hota hai? hum is barey main detail main bat karein gay.  Musht Zani Kia Hai? Musht Zani aik aisa kaam hai jo bilkul na jaiz or ISLAM mein Haram Hai. Aajkal kuch logon ney musht zani ko bilkul faida mund qarar dekar larko ko khuli azadi day rakhi hai kay wo daba kar musht zani kare chunkay main bhi aik larka hon aur mujhe bhi yeh aadat thi lekin mainey is per qabo palia.kuch doctor musht zani ko scientific tareeqay kay zarye drust qarar detay aur america aur europe ki misaal dekar isey jaiz qarar detay hain halan kay aesa kuch nahi hai.musht zani aik haraam amal hai or ye bilkul islam kay khilaf hai so jo bhai bhi ye article parh raha hai os say darkha...