Namaz Mein Shifa Hai Namaz Deen Ka Satoon Hai Namaz Bemariyon Se Bachati Hai
Beshak Namaz Mein Shifa Hai Iss hadees say ayaan hota hai kay namaz mein jahan rohani farhat aur itmenaan haasil hota hai wahan iss mein jismani sehat kay raaz bhi muzmir hain iss kay tamaam arkaan ko agar achi tarah aur ba qayedgi sey ada kiya jaye tau jismani bemarion se nijat hasil ho sakti hai tibbi nuqta e nigah sey cholesterol ko yani charbi jo kay sharyano mein tangi peda karti hai namaz ki warzish se wo aietadal par aa jata hai kyun kay ye tibbi usool hai kay hum din mein jitni baar khana khate hain itni hee bar cholesterol ki miqdar humare khoon mein aam satah se buland ho jati hai aur khoon garah ho jata hai. isi garhay pan ka khatma namaz karti hai aur cholesterol ko bari hadd tak kam karne mein muawnat karti hai aik tibbi nuqta zehan mein rakhne ki zaroorat hai kay saath saal ki umar kay baad daura e dil zyada khatarnaak nahi kyun kay umer kay taqaze say jun jun dil ki shariyane tang hona shuru hoti hain Allah Taa'ala ki qudrat sey saath hee nai shariy...