Corona Virus Kya Hai Coronavirus Ki Alamat in Urdu Ye Virus Kesy Phelta Hai COVID-19 Se Bachne Ka Tarika
Corona Virus Kya Hai Ye Kahan Se Shuru Hua aur Kesy Phela? Coronavirus Information in Hindi/Urdu COVID-19 Se Bachne Ka Tarika Coronavirus ya CronaVirus aik Virus group hai ye virus janwaron aur parindon mein mukhtalif mamoli aur ghair mamuli bimarion ka sabab banta hai maslan gaye (cow) khanzeer (pig) mein asani se phelta hai isi tarah insanon mein saans phoolne ka zariya banta hai amuman iske asrat mamuli hote hain lekin baaz auqat kisi ghair mamuli sorat e haal mein mohlak bhi ho jate hain. Coronvirus k ilaj aur roktham k liye ab tak koi tasdeeq shuda ilaj ya medicine dawa abi tak daryafat nahi ho saki coronavirus jise COVID-19 naam diya gaya hai is se murad cronavirus infection se peda hone wala namunia hai. Corona Virus Ka Naam Coronavirus Kyon Hai? Corona Latin zuban ka lafz hai jiske mani taaj ya hala k hote hain chunke virus ki zahri shakal suraj k halay jesi hoti hai isi wajah se iska naam coronavirus rakha gaya hai. Corona Virus Ki Alamat aur Nishan...