Corona Virus Kya Hai Coronavirus Ki Alamat in Urdu Ye Virus Kesy Phelta Hai COVID-19 Se Bachne Ka Tarika

Corona Virus Kya Hai Ye Kahan Se Shuru Hua aur Kesy Phela?


coronavirus ke lakshan in hindi
Coronavirus Information in Hindi/Urdu


COVID-19 Se Bachne Ka Tarika

Coronavirus ya CronaVirus aik Virus group hai ye virus janwaron aur parindon mein mukhtalif mamoli aur ghair mamuli bimarion ka sabab banta hai maslan gaye (cow) khanzeer (pig) mein asani se phelta hai isi tarah insanon mein saans phoolne ka zariya banta hai amuman iske asrat mamuli hote hain lekin baaz auqat kisi ghair mamuli sorat e haal mein mohlak bhi ho jate hain.
Coronvirus k ilaj aur roktham k liye ab tak koi tasdeeq shuda ilaj ya medicine dawa abi tak daryafat nahi ho saki coronavirus jise COVID-19 naam diya gaya hai is se murad cronavirus infection se peda hone wala namunia hai.

Corona Virus Ka Naam Coronavirus Kyon Hai?


Corona Latin zuban ka lafz hai jiske mani taaj ya hala k hote hain chunke virus ki zahri shakal suraj k halay jesi hoti hai isi wajah se iska naam coronavirus rakha gaya hai.

Corona Virus Ki Alamat aur Nishaniyan


Coronavirus ki aam alamat mein nizam e tanafs k masail maslan khansi, saans ka phulna saans lene mein dushwari iske ilawa nizam e inhizam k masail aur kul badni alamat jesy thakawat shamil hain. Shadeed infection namunia saans na aane yahan tak k maut ka sabab ban sakta hai.
Coronavirus ki aam nishani mein bukhar hona thakawat mehsoos karna aur khushk khansi hona shamil hai. Nizam e inhizam mein zahir hone wali ibtadai alamat mein halki thakawat, matli, qay shamil hai. Nizam e qalbi mein zahir hone wali ibtadai alamat mein dharkan ka taiz hona, seene mein takleef hona. Aankhon mein zahir hone wali ibtadai alamat mein aankh ki jhilli ki sozish. Bazoun, taangon aur peeth k nichle hisse mein halka dard mehsoos hona kuch mareezon mein koi alamat zahir nahi hotin.

Shadeed Mutasira Mareez Ki Alamat


Mutasira Mareez mein 1 hafta ya 10 din mein saans k masail zahir hona shuru ho jate hain jo shadeed mutasira mareez mein jald bigar kar shadeed saans ki takleef ki bimari nizam e inhizaam (digestive system) mein tezabiat khoon jamne mein masle ki sorat ikhtiyar kar leta hai.

CoronaVirus Bimari Kay Asraat

coronavirus ki dawai
COVID-19 Symptoms in Urdu/Hindi

COVID-19 bunyadi taur par doodh pilane wale janwaron aur parindon k nizam e tanafus aur insanon k nizam e hazam ko mutasir karta hai. Is virus k zariye insano ko hone wali bimarion ki is waqt 4 iqsam hain jis mein sab se zyada payi jane wali qism "Human Corona SARS CoV" hai jo Sars bimari ka zariya banta hai ye bilkul munfarid qism ki bimari hai is se upari aur nichle dono nizam tanafus yaksan mutasir hote hain aur basa auqat aant aur maday ka namunia ho jata hai. Ye mana jata hai kay coronavirus aam taur par baaligh afraad ko sardi k nazlay ki wajah se sab se zyada lahaq hota hai.
Aam sardi mein hone wale nazla ki tarah coronavirus k asar ka andaza lagana mushkil hai kyon ki wo naak virus (aam sardi ka nazla) k barracks hota hai.
Istarah laboratory mein insani corona ki tehqeeq o nashonuma bhi mushkil hai. Corona Namunia, Virus Namunia ya to barah e rast ya sanwi jarsomi ka sabab ban sakta hai. Murghion (Chicken) mein bronakites virus (IBV) na sirf nizam e tanafus mein asar andaz hote hain balke peshab k rasta ko bhi mutasir karte hain aur iska imkan rehta hai k ye virus murghi k tamam azaa (body parts) mein phel jaye. isi tarah coronavirus khait k janwaron aur paltu janwaron mein bhi bohat si bimarion ka zariya banta hai jin mein kuch khatarnak hoti hain aur kheti ko bhi nuqsan pohancha deti hain. Coronavirus aam taur par gaye aur khanzeer dono paltu farmi janwaron ko hota hai.

Coronvirus Precautions Corona Virus Se Bachne K liye Hifazti Tadabeer

Corona Virus ka koi khas tasdeeq shuda ilaj ya dawa nahi hai albata ihtiyati tadabeer apna kar coronavirus se bacha ja sakta hai.


  1. Sabun ya pani se hathon ko bar bar dhona aur kam az kam 20 seconds tak dhote rehna.
  2. Ganday hathon se naak, mun aur aankhon ko chone se parhez karna.
  3. Mun par mask pehnna khansty aur cheenkty waqt mun par hath ya rumal rakhna.
  4. Mutasira afraad se barah e rast mulaqat karne aur inki istemal ki hui cheezon se door rehna.
  5. Apne ghar gali muhallay mein safai suthari ka khaas khayal rakhna.

Comments

Popular posts from this blog

Aankhon Ka Phadakna Kya Hai Eye Twitching Causes and Facts Aankhon Ka Fadakna Haqeeqat aur Ghalat Fehmiyan

Badhazmi Ka ilaj in Hindi Khatti Dakar and Loose Motion Acidity Treatment in Hindi Khatti Dakar Ka Gharelu ilaj

Hips Badhane Ki Cream Hips Mote Kaise Hote Hain Hips Badhane Ke Tips Peeth Me Dard Ka Ilaj Hips Bada Karne Ki Medicine