Behtreen Khurak Ka Istemal aur Unkay Fawaid

Hame Kya Khana Chahiye?


1.Protein k hasool kay liye daalen, anaaj, paneer, doodh, matar, aur phal zyada istemal karen, is say apky jism mein phurti peda hogi aur aap ki jismani kamzori door hogi.

2.Chiknai kay liye doodh, makhan, ghee, tail, badam, akhrot, kaju, mong phali, istemal karen, is sey ap kay jism ko garmi aur quwwat hasil hogi.

3.Madaniyat kay liye taza saag, sabziyan, phal, gehu, doodh aur chawal istemal karein, is say hadiyan mazboot hoti hain.


4.Carbohyderates kay liye gehu, makai, jowar, ganna, bajra, aur methay phal ka istemal karen, in say apky jism ko hararat aur quwat milti hai.

5.Calcium zyada tar dodh, taza sabziyon, lassi, paneer, aur dahi mein paya jata hai. Calcium say daant aur hadiyan dono mazbot hote hain is kay elawa apki rangat mein bhi kafi nikhaar ata hai.



6.Vitamins ka khazana gehu, doodh, doodh se bani chezon mein majood hota hai. Vitamins Hamare jism mein quwwat e madafiyat peda karte hain.

7.Iron (Loha) yani folaad haasil karne kay liye hari sabziyan, khushk mewa jaat, roti aur matar mein baa kasrat milta hai jis say humari khoon ki kami pori hoti hai.



8.Paani hamari zindagi ki bunyadi zrorat hai, yeh hamare jism ki safai kar kay paseena, peshaab aur pakhana yani fuzlaat waghera ko bahir nikalta hai. aur wese bhi duniya kay kaafi doctors din mein kam az kam 8 glass pani ka istemal karna sehat kay liye mufeed samjhte hain.

Comments

Popular posts from this blog

Aankhon Ka Phadakna Kya Hai Eye Twitching Causes and Facts Aankhon Ka Fadakna Haqeeqat aur Ghalat Fehmiyan

Badhazmi Ka ilaj in Hindi Khatti Dakar and Loose Motion Acidity Treatment in Hindi Khatti Dakar Ka Gharelu ilaj

Hips Badhane Ki Cream Hips Mote Kaise Hote Hain Hips Badhane Ke Tips Peeth Me Dard Ka Ilaj Hips Bada Karne Ki Medicine