Nashta Behtar Sehat Behtar (Healthy Breakfast)
|
Healthy Breakfast Karen |
Nashte Me Kya Khana Chahiye?
Raat ko sone kay baad uthnay par hamare jism ko nashte ki zaroorat hoti hai jub hum sote hain to taqreeban 980 calories kharach hoti hain subah uthne kay bad hum bhook mehsoos karte hain nashte kay bad humare jism mein majood khoon (Blood) ko glucose ki miqdar muhaiya ho jati hai iss endhan ki bhi jis ki humare dimagh ko zaroorat hoti hai isi tarah jub hum neend mein hote hain toh hamara khuliyon (Cells) kay banne ka amal sust par jata hai jub hum subah uthnay per nashta karte hain tau yeh hazam hone kay bad fori tor par is amal ko anjam deta hai. Nashta humare jism ki chuthai (1/4) tawanai ko bahal karne ka sabab banta hai agar hum nashta nahin karte toh aap khud andaza laga lain kay hum iss zaroori tawani ko haasil karne mein nakam hote hain hum apni pehli khurak ko he chor dete hain.
Mahreen ka khayal hai kay acha nashta chust rakhne aur behtar din kay aaghaz kay liye bohat zarori hai umar kay lehaz se qata nazar har wo shakhs jo nashta nahi karta wo din ki pehli khurak se mehroom hota hai jis say thakan aur neend ki kami ki bimari lahaq ho jati hai. Tabai aur dimaghi lehaz se nashta mufeed wa moaassar hai misaal kay taur par jo bachay nashta karte hain inki sehat bhi behtar hoti hai aur school ki karkardagi bhi misaali hoti hai baraks is kay jo bache nashta nahi karte aur yunhi subha hath munh dho kar school chale jaate hain aksar unke parents ko he apne bachay ki performance report kay hawale se alert kia jata hai kay apne bachay par tawaju dain aur is ki sehat ka khayal rakhein. Ghizaiyat bhari ashiya har aik kay liye behtreen hain nashtay ko matwazan hona chahiye is mein protein aur vitamin say bharpur ashiya shaamil honi chahiyen. Paratha, puri, daal waghera ye aisi khurak jis say aap ki ghizai aur vitamin ki zaroratein pori ho jati hain subha kay auqaat mein meethi cheezon sey perhaiz karen kyun subah subah meetha khana aap ke saray din kay liye susti kay baais bane ga.
|
Add caption |
Nashte Me Kya Banaye?
Behtar kisam ki khurak qabil e rashk sehat ki baais banti hai nashty mein lee jane wali khurak humare jism kay adhay din ki zaroriyat ko pora karti hai yaad rahe kay rozana nashta karne wale log apne masail ko asani se hal kar lete hain aur taleemi lehaz se bhi behtar hote hain is liye nashtay ki aadat ko apnaye jis ne sirf humain ghizaiyat haasil hoti hai bal kay hamain tawanai bhi milti hai kyun kay nashta achi sehat ki zaroorat hai.
Comments
Post a Comment