Zaitoon Joron Kay Dard Ko Khatam Karne Kay Liye Aala Tareen Phal Olive Oil for Joints Pain

Zaitoon Joron Kay Dard Ko Khatam Karne Kay Liye Bohat He Aala Tareen Phal Saabit Hua Hai





Joron Ka Dard aur Zaitoon Ke Tail Ka Istemal




Zaitoon ka darakht teen (3) meter kay qareeb uncha hota hai. Chamakdar patton kay ilawa iss mein bair ki shakal ka aik phal lagta hai jis ka rang uda aur jamani zaiqa bazahir kasela hota hai. Buniyadi taur par ye darakht aisiaye kochak Palestine, bahraye room kay khitta unan, Portugal, Spain, turkey, italy, shumali Africa, aljazair, Tunis, America mein California, Mexico, Peru aur Australia kay janubi elaaqon mein paya jata hai zaitoon ka tail france itlay spain turkey aljazair tunis aur unan say aata hai.


Iss ki sab say bari market khaleej hai jis mein saudi arab, bahrain, matehda arab amarat waghera shaamil hain. Qareeb qareeb pandrah (15) sau saal pehle baluchistan say bhi zaitoon ki kaasht kar kay iss kay tail ko dabbon mein pack kar kay baramad karna shuru kiya gaya magar iss ki kasht intehai kam miqdar mein hai zaitoon ka phal ghizaiyat say bharpoor hai. Apne zaiqay ki waja say batoor e phal zayada marghoob o maqbool nahi hai magar kaasht kay ilaaqon mein is ka achaar baray shauq se khaya jata hai.

Apne baish baha fawaid aur khususiat ki waja say ye tail baadshaho aur farma rawaon kay istemal mein raha hai.

Search Terms:

zaitoon ka tail urdu 
zaitoon ka darakht
zaitoon ka tail kay faide
zaitoon ka oil

Comments

Popular posts from this blog

Aankhon Ka Phadakna Kya Hai Eye Twitching Causes and Facts Aankhon Ka Fadakna Haqeeqat aur Ghalat Fehmiyan

Hips Badhane Ki Cream Hips Mote Kaise Hote Hain Hips Badhane Ke Tips Peeth Me Dard Ka Ilaj Hips Bada Karne Ki Medicine

Badhazmi Ka ilaj in Hindi Khatti Dakar and Loose Motion Acidity Treatment in Hindi Khatti Dakar Ka Gharelu ilaj