Matwazan Ghiza Kya Hai? Matwazan Ghaza Kisay Kehte Hain??

What is Balanced Diet in Urdu Matwazan Ghiza Kise Kehte Hain?



Balanced Diet Benefits in Hindi Matwazan Ghiza Ke Fawaid in Urdu



Wo khorak jis mein humare jism kay liye tamam zarori ajza jese protein, chiknai, carbohydrates, madniyat, reshay or mukhtalif qisam ke vitamins wafir miqdaar mein shaamil hon matwazan ghiza kehlati hai. Agar humari khurak mein in ajzaa mein sey koi aik juzz bhi kam hoga toh hamain tarah tarah ki bemariyan dabooh len gi for example agar humare jism mein vitamin C ki kami ho jaye to hamara chehra zard jism mein dard aur masurohon ka pholna, daanton ka dheela hona, saans se badbu aana, aur zakhmon ka jaldi na bharna wagera jesi bemariyan insan ko lag sakti hain.



Vitamin A ki kami se insaan ki nazar kamzor ho jati hai rat kay waqt kuch dikhai nahi deta, aankhon mein jalan aur kharish rehne lagti hai. Roshni bardasht nahi ho sakti gurde ki pathri peda ho jati hai, jild ki bemari ho sakti hai ya jild par chote chotay ubhar peda ho jatay hain. Alam shabab mein daant hilnay lag jate hain. Budhapa mein motia ubharne lag jata hai is liye zaroori hai kay hum aisi ghiza istamal karen jis mein proteins, chiknai, madniyat, carbohydrates, water, calcium, or iron bohat zyada miqdar mein majood hon.

Comments

Popular posts from this blog

Aankhon Ka Phadakna Kya Hai Eye Twitching Causes and Facts Aankhon Ka Fadakna Haqeeqat aur Ghalat Fehmiyan

Badhazmi Ka ilaj in Hindi Khatti Dakar and Loose Motion Acidity Treatment in Hindi Khatti Dakar Ka Gharelu ilaj

Hips Badhane Ki Cream Hips Mote Kaise Hote Hain Hips Badhane Ke Tips Peeth Me Dard Ka Ilaj Hips Bada Karne Ki Medicine