Sehat o Tandrusti Ke Liye Hum Kesi Ghiza Khayen Tandrusti Ka Raaz Kya Hai?
Tandrust Rehne Ka Tarika Sehat Banane Ke Tarike In Hindi
Aap ne dekha hoga kay gawala apne doodh dene wale janwaro kay liye aisi khorak ki talaash mein rehta hai jis kay khanay se iskay janwar zyada doodh day saken.
Taanga ban apne ghore ko aisi khorak khilata hai jis say isay taqat miley aur wo tez daur sake. Jin kay pass race mein dorne wale ghoray hote hain wo har waqt isi soch mein ghum rehte hain kay wo apne ghoron ko kon c aisi khorak khilaye kay unka ghora race mein sab say aage rahe or jeet jaye.
Hamain aisi kuraak istemal karni chahiye jo qudarti halat mein ho. Allah ne mukhtalif kisam kay phal or sabziyan peda farmai hain jin kay khanay se na hum sirf apnay pait ki aag bhuja sakte hain balkay kai kisam ki bemarion se mehfooz bhi reh sakte hain. Hum jis qadar zyada sabzian aur phal istamal karen gay humari sehat utni he qabil e rashk hogi aur is kay ilawa khurak mein tawzan ka hona bhi bohat zaroori hai.
Comments
Post a Comment