Musht Zani Kay Nuqsanat Side Effects of Mushtzani Muth Marne Ke Side Effects Kya Hai Khud Lazzati Jalaq Ka Nuqsan Mushtzani Karne Ke Nuqsanat

Musht Zani Kay Nuqsanat Side Effects of Mushtzani Khud Lazzati Jalaq Ka Nuqsan


Side Effects Of Musht Zani Muth Marne Ke Side Effects In Urdu

Kya Mushtzani Sey Khud Aitmadi Aur Quwwat E Iradi Khatam Ho Jati Hai..?




Dimagh aur beenai kamzor ho jati hai. Zehni uljhanein barh jati hain. Fard tanhaee pasand ho kar zindagi kay hungamo’n sey kinara kash ho jata hai. Uzu ki makhsoos rugein ubhar aati hain aur taerha pan ho jata hai. Darmiyan mein sey patla ho jata hai. Aise larkey jawan ho kar amooman akhlaqi mujrim ban jatey hain. Muta’alla karne ko jii nahin chahta. Kuch yaad nahin rehta. Bey chaeni, udaasi, afsurdagi, mayoosi, ghabrahat aur jhijhak iss per tari ho jati hai. Khelon mein hissa leney sey katratey hain. Musht zani sey jiryan, ehtelam, surat e inzal aur na mardi tak amraz paeda ho saktey hain, maeda kharab ho jata hai, bhook mar jati hai.


Raat ko wehshat ka khwab aate hain. Chehra har waqt bey ronaq rehta hai, gaal pichak jatey hain aur zinda laash ban kar reh jata hai. Ma’roof likhari aur ustaad Ali Abbas Jalalpuri irshad farmate hain: Kasrat e jalaq bila shuba ek naukhaez jism aur zehen kay aksar awariz ka sabab ban jati hai. 12, 13 saal ki umer mein kasrat o tawatur sey jalaq lagaee jaey to a’aza e tanasul (male genitalia) ki nashonuma ruk jati hai. Kotahi, laghari aur kaji kay ba’es majlooq muqarbat kay qabil nahin rehta. Iss ka nizam bhi ma’uf ho jata hai. Aankhein ander ko dhans jati hain. Inn kay gird kaley halkey namudaar ho jatey hain. Aankhon ki putliyan bey ronaq aur bey noor ho jati hain , chehre ka rang matiyala ho jata hai.




Jalaq Lagane Ka Nuqsan Musht Zani Karne Kay Nuqsanat Musht Zani Kay Side Effects


Chehrey per phunsiyan nikal aati hain. Hath bheegey bheege aur sard rehtey hain, hafiza kamzor ho jata hai. Baat kartey waqt mukhatib sey aankh nahin mila sakta, na kisi masle per ghor o fikr kar sakta hai iss ka aitmaad e nafs majrooh ho jata hai, mizaj hamwaar nahin rehta. Azm o hosley sey aari ho jata hai. Matloon mizaj aur chirchira pan ho jata hai aur tootey huey jumlon mein baat karta hai. Doosrey hamjinso’n ki sohbat sey guraez karta hai aur khelon mein hissa nahin leta. Tanha idhar udher ghoomta phirta rehta hai. Libaas kay mamlay mein beparwah hota hai. Badni safaee ka khayal nahin rakhta. Shaadi kay naam sey ghabrata hai. Jawan aurat sey baat kartey huwey uss ko pasine aane lagte hain aur dil dhak dhak karney lagta hai. Who tashweesh ki uljhan mein mubtala ho jata hai.



Bus mein safar kar raha ho to darta rehta hai kay kahin is ski takkar na ho jaey. Cinema mein betha ho to ooper dekhta hai kay kahin chat na gir parrey. Iss kay iqdaam aur paeshraft ki quwwat slab ho jati hai aur iss mein mareezana jhijhak paida ho jati hai. Nafsiyati rukawat kay ba’es woh mamooli sa kaam bhi saleeqey sey nahin kar sakta, maslan taxi wale ko awaz dete waqt, khirki sey ticket khareedtey waqt, rail mein sawar hote huey, public toilet ko istemal kartey waqt ghabra jata hai. Woh na kisi kay mazaq per khul kar hans sakta hai aur na kisi museebat mein kisi sey izhar e hamdardi kar sakta hai. Uss ki khamoshi kay ba’es log usey mutakabbir samjhne lagety hain kyun kay woh uss kay ajeeb o ghareeb tarz e amal kay asal sabab sey na waqif hotey hain. Usey apni alamnak haalat ka ehsas hota hai. Who zindagi kay haqa’eq sey guraez kar kay barey barey buland nasb ul ain apna leta hai aur hero banney kay khwab dekhne lagta hai. Adbi zoq sey behra war hoto meyar sey gira hua adab takhleeq karta hai. Uss kay ehsaas se zakawat aur takhayul mein khwabnaaki si aajati hai.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Aankhon Ka Phadakna Kya Hai Eye Twitching Causes and Facts Aankhon Ka Fadakna Haqeeqat aur Ghalat Fehmiyan

Badhazmi Ka ilaj in Hindi Khatti Dakar and Loose Motion Acidity Treatment in Hindi Khatti Dakar Ka Gharelu ilaj

Hips Badhane Ki Cream Hips Mote Kaise Hote Hain Hips Badhane Ke Tips Peeth Me Dard Ka Ilaj Hips Bada Karne Ki Medicine