Ayurveda Kya Hai? Ayurveda Introduction Ayurvedic Medicine

AYURVEDIC MEDICINE: Asav / Arista ; आसव / अरिस्ट


Ayurveda in Hindi and Urdu


SARASWATARISHTA

English translation; This medicine is used in all mental disorders both Psychosomatic and Somatopsychic. Any Brain anomalies is covered by this drug. Mental disorders like loss of memory, mania of all kinds, problems arises by Brain pathophysiology etc.



Yah arishta Mastishka sambandhi sabhi bimariyon mein upyog mein aata hai, jinaki yaddashta kamjor ho gayi hai, jinako naam , pata, kaam tak bhul jane ki bimari hai, jo padhane wale vidyarthi hain , jinako Psychological ya Psychosomatic bimari ho gayi ho, jinhe raat mein nind na aati ho, jo bhay, tanav itaydi se pareshan hain, ve isaka sevan kar sakatey hai

Tatparya yah hai ki, yadi kisi ko mashtishk se sambandhit vikar hon, chahe vah Alzheimer’s disease ke syndromes hon, chahe vah Senile Dementia ke syndromes hon , yah aushadhi sabhi mashtishk vikaron mein prayog ki jati hai

Ise din mein do baar 15 se 30 ml barabar pani milakr , khana khane ke baad pina chahiye,

Doses; 15 to 30 milliliters with equal quantity of water, after meal both the time after Lunch and Dinner

#############################

PUNARNAVASAV


Used in all kinds of Swelling, Dropsical conditions, Anasarca, Pleural effusion and swelling related problems of all kinds of any organs like Liver, Spleen, Lungs, abdomen etc etc.

Yah Punarnavasav , sharir mein vyapta sabhi prakar ki sujan,shoth mein bahut upakari hai, chahe jaisi sujan ho, gurde kaam na kar rahe hon ya kam kaam kar rahe hon to yah bahut upakari hai, isake prayog se sabhi prakar ke shoth, sujan, dropsy, oedema adi sabhi thik hote hain,

Ise yadi doosari shoth nashak dawaon ke saath prayog kiya jaye to sujan , dropsy aadi mein bahut jaldi aaram milati hai.

#################################

LOHASAV

Used in Hepatomegaly, Anemia, anomalies of blood, any organs pathophysiology and pathological conditions.

Yah dawa Rakta ki kami, yani anemia, sharirik kamajori, hridya rog, mastishka ke rog, durbalata, yakrat yani Liver ke rog, Pancreas se sambandhit rog, pachan vikar, mandagni, rakta vikar ityadi mein prayog ki jati hai,

Ise 15 se 30 Milliliter dogune pani mein milkar bhojan ke pashchat dono samay pi lena chahiye.

##############################

LODHRASAV


Used in all conditions of Urine anomalies like Diabetes insipidus, diabetes mellitus, uric acid formation etc etc

Yah peshab se sambandhit sabhi prakar ke vikaron mein prayog kiya jata hai

Isake sewan se Kaphaj Peameh, Pittaj prameh, Pandu, Arsh, Grahani ke dosh, aruchi, kilas namak kustha, tatha anya prakar ke kustha mein labh hota hai

Matra; 15 se 25 ml barabar pani milakar bhojan ke pshchat, subah aur sham

###########################



KUMARI ASAV

Preparation of ALOE VERA, used in many disorders, a medicine used in all kinds of ailments , particularly related to Liver, Gallbladder and pancreas.

Yah Aloe Vera yani Ghrit Kumari se banaya gaya Ayurvedic kalpa hai

Ise Liver se sambandhit sabhi trah ki bimariyon mein, khoon ki kami, mahilaon ke kamar dard, mahilaon ke masik vikar, pradar, Leucorrhoea, Masik ki gadbadi, sharir ba bal badhane, kamjori door karane vali bahut achchi dava hai

Isako 10 milliliter se lekar 25 milliliter tak , barabar pani milakar, kkhane ke baad, dopahar aur raat mein din mein do baar lena chahiye

= = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = =

ASAVAS & ARISTAS are prepared according to fermentation process and thus they are enriched with the natural Yeast and B- Complex properties. Besides this the natural ingredients of the medicinal properties assimilates with the ASAVAS and ARISTAS. It contains a small quantity of the natural , which makes ASAVA & ARISTA most digestive helping remedies. It have more medicinal beneficial effects on the human body and is totally safe without any side effects.

Asav aur arist Ayurvedic chikitsa ke pramukh dwaon mein shamil hain. Yah bahut halke kote hain aur shighra hi pachakar sharir mein apna asar dikhatey hain. Inako jyadatar bhojan karane ke baad barabar matra mein pani milakar pitey hain.

Prayah sabhi asav aur arista bhojan ko shighra pachatey hain, pet saaf rakahne mein madada karatey hain, bhuk paida karatey hain aur pet mein banane wali gas ya vayu ka shaman karatey hain. Inamein mili huyi dawa ke prabhav se rog door hote hain.

Inhen bhojan ke baad prayog karatey hain, lekin kuchch paristithion mein inaka upayog khali pet bhi karatey hain.

Comments

Popular posts from this blog

Aankhon Ka Phadakna Kya Hai Eye Twitching Causes and Facts Aankhon Ka Fadakna Haqeeqat aur Ghalat Fehmiyan

Badhazmi Ka ilaj in Hindi Khatti Dakar and Loose Motion Acidity Treatment in Hindi Khatti Dakar Ka Gharelu ilaj

Hips Badhane Ki Cream Hips Mote Kaise Hote Hain Hips Badhane Ke Tips Peeth Me Dard Ka Ilaj Hips Bada Karne Ki Medicine