Haldi Se Cancer Ka ilaj in Urdu Cancer Ka ilaj In Urdu Health Tips in Urdu Cancer Desi Treatment Cancer Cure Home Remedies
Cancer Ka Gharelu Ilaj In Hindi Cancer Ka Kaise Pata Chalta Hai Cancer Ka Desi Ilaj In Urdu
Haldi Ke Fayde For Cancer Treatment In Hindi |
Benefits Turmeric Powder Cancer |
Cancer Ka Ilaj Kya Hai Cancer Ke Upay Hindi Cancer Natural Treatment India
Haldi Se Cancer Ka ilaj
Cancer ek jaan lewa marz hai aaj kal kafi log iss khatarnak bimari mein mubtala paye jate hain Scientific research ke mutabiq turmeric yani haldi powder se iska ilaj mumkin hai. Haldi powder mein paye jane wale yellow Color ke particles cancer ke cells ko tabah kar sakte hain. Lambay arsay se chemical substance carcumin mein ilaj ki khsosiat ka zikar kiya jata hai isay pehle he jodo ke dard aur hafizay ki bimari ke ilaj ke liye test kiya ja raha hai. Lekin ab cork cancer research center ki aik team ke experiments mein ye baat samne ayi hai ke ye khurak ki nali mein paye janay wale cancer ke cells ko damage kar sakta hai.
Recommended for You: Cancer Kya Hai Blood Cancer Kya Hai Cancer Ki Alamat In Urdu
Cancer ke mahireen ka kehna hai british journal of cancer mein shaya hone wali new research ke results ke naye tarike talash karne mein madad gar sabit ho sakte hain. Doctor sheeron mekena aur inki team ko ye bat maloom hui hai ke 24 hours ke andar carcumin cancer cells ko khatam karna shuru kar deta hai. Research se ye bat bhi samne ayi hai ke jab carcumin ne apne asrat dikhana shuru kiye to cells ne khud ko hazam karna shuru kar dia. Doctor mekeena ka kehna hai ke scientists kafi arsay se malom tha ke haldi mein paye jane wale zard zaraat mein cancer zada aeb dar cells ka ilaj karne ki salahiyat majood hai. Cancer research UK mein cancer information technology ki director doctor leezli walker ke mutabiq ye aik dilchasp tehqeeq hai jis say haldi mein qudrati taur per paye jane wale chemical ingredients se khurak ki nali ke cancer ke ilaj ki rahein khul sakti hain. England mein har saal 7800 maday ki nali ke naye mareez saamne atay hain aur mulk mein cancer se halak hone waale mareezon mein se 5 percent is bimari ka shikar hote hain.
Comments
Post a Comment