Benefits Of Lemon Juice For Flu Lemon Ke Totkay Lemon Ki Taseer Nimbu Ke Fayde In Urdu Lemon Khane Ke Fayde In Hindi
Home Remedies Lemon Lemon Ke Totke Lemon Health Benefits In Urdu
Lemon Health Benefits In Urdu
|
Lemon And Salt For Gum Infection
|
Lemon Juice And Bone Health
|
Lemon Khane Ke Faide لیموں کے فواید لیموں کا رس لیموں کے چھلکے Nimbu Pani Benefits In Hindi
Lemon tursh (karwa) phalon mein ek eham phal hai. Ye alaw darja ki sehat bakhsh ghiza hai is ka ras, chilka, tukhm aur chilkay mein paya jane wala tail tibbi maqsad ke liye istemal kiye jate hain. Taza lemon ka ras sadiyon se dawa ke taur par istemal ho raha hai. Ye fasad maadon ko kam karke bimari ka doraniya kam karta hai. Lemon mein payi jane wali vitamin c badan mein quwwat e mudafiyat ko badhati hai aur zakhmon ko bharne mein madad deti hai aur Aankhon Ki Bimariyon se bhi bachati hai. Lemon hazmy dar bhi hota hai isliye ye Gas Tezabiyat ki soorat mein bohat faida mand phal hai. Nimbu danton aur jism ki hadiyon ko mazboot banata hai. Daanto Ka Dard aur masorhon se khoon ka rasna band ho jata hai.
Lemon Ki Taseer :-
Lemon ka pani pehle darja mein khushk aur dusre darja mein sard hai. Kuch experts ke mutabiq pehle darja mein sard aur dusre darja mein tar hai. Tukham lemon aur post lemon dusre darja mein garam khushk hai.
Lemon Ke Istemal aur Bimariyon Mein Faida Mand :-
Zukam : London mein 1931 mein infoiz ki waba pheli to iss ka khatma lemon ne kiya, Zukam door karne ke liye 1 glass neem garam pani mein lemon ka ras nikalain aur 1 chamach shehad mila kar peena zukam aur Khushk Khansi ke liye bemisal ilaj hai iske elawa mukhtalif kisam ke bukhar maslan malaria, typhoid mein bhi mufeed hai.
Tonsillitis ki soorat mein 1 glass neem garam pani mein taza lemon ka ras nichoden aur chaye ke 4 chamach shehad mein shamil karen 1 chaye ka chamach aam namak daal kar ahista ahista chuskiyon si piyen to tonsillitis ki shikayat door ho jae gi.
Suje Huye Mosoron Ke ilaj ke Liye Lemon Ka Istemal :-
Suje hue mosorhon mein lemon ek faida mand phal hai. 1 Glass pani mein 1 lemon ka juice milain phir 1 chutki namak daal kar peena suje hue mosoron ko sehatmand banata hai.
Comments
Post a Comment