Congo Virus In Pakistan In Urdu 2017 Congo Virus Kya Hai In Urdu Congo Virus Ki Alamat Congo Virus Symptoms In Urdu
Congo Virus Se Khud Ko Bachaye Congo Virus Kya Hai Congo Virus Information Symptoms and Prevention
Congo Virus Ki Malomat In Urdu |
Janwaron Ke Chechron Se Bachne Ke Liye Ihtiyati Tadabeer
Congo fever ki wajah se aik khatarnak virus hai jo janwaron aur mavieshion par palne wale checheray ke katne se phelta hai. Iske ilawa ya marz mutasira janwar ya afrad ke khoon ya ratobaton se bhi phel sakta hai.
Janwaron, maveshion aur in ke baaron ko chechron se mehfooz rakhne ke liye safai ka khas khyal rakhen. Bachon ko janwaron ke sath khelne se roken. Apne paltu janwaron aur maveshion ko chechron se mehfooz rakhne ke liye livestock department ke mashware se chechar maar adwiyat istemal karen.
Congo Bukhar Ki Alamat Congo Virus Signs and Symptoms
Congo Virus Ki Pehchan Kaise Karen |
Shadeed dard hona, munh aur naak se khoon behna, matli aur qay, taiz bukhar aur iske ilawa jism par surkh rang ke nishanat aur dhabe pad jana.
Janwaron K Bioparion Aur Qasabon Ke Liye Khasosi Hidayat
Mandi mein aate jate waqt chechray se mehfooz rehne ke liye ehtiyat tadabeer apnay aur chechar bhagao lotion lagain. Qasab janwaron ko zibah karte aur gosht banate waqt ihtiyat karen aur janwaron ke khoon se khud ko aludah hone se bachaye.
Janwar zibah karne ke baad khoon aur alaishyon ko ihtiat se talf karen aur inhen zameen mein daba dain. Qasab ghar jate apne khoon alood kapde tabdeel karen aur haath sabun se achi tarah dho lain. Taiz bukhar ya congo fever ki alamat ka ehsaas ho to foran qareebi hospital se raju karen.
Congo Virus Ka Keera |
Doctors Ke Liye Hidayat Instructions for Medical Doctors
Congo ke mareezon ka ilaj karte waqt zati hifazati iqdamat maslan dastano aur mask ke istemal ko yaqeeni banayen.
Comments
Post a Comment