Sehatmand Rehne Ke Usool Se Sehat Mand Hone Ka Tariqa In Urdu Sehatmand Kaise Rahe In Hindi
Sehatmand Rehne Ka Tarika Sehatmand Khorak Tandrust Rehne Ka Tarika
Sehatmand Hone Ki Tips
|
Sehatmand Hone Ka Raaz
|
Sehatmand Zindagi Ka Raaz Healthy Rehne Ke Tarike
Jis tarah aik bijli ka pankha ya gadi ka engine bijli ya endhan ke baghair nahin chal sakta isi tarha hamara jism bhi khurak ke baghair nahin reh sakta. Jab tak pankhe ya engine ko bijlee ya endhan ki soorat mein tawanai milti rehti hai wo chalte rehte hain aur jaise he inhen energy milna band ho jati hai to wo foran rok jate hain. Bilkul aise he jab tak humare jism mein energy majod rehti hai hum tandrust o tawana rehte hain aur jab tawanai ki kami ho jati hai to hum kamzor aur bemar ho jate hain. Agar bahut zyada dair tak humare jism ko tawanai na mile to phir hum mar bhi sakte hain.
Hamara jism bhi ek engine ki tarha hai jise chalte rehne ke liye har waqt energy ki zaroorat hoti hai. Aap ko ye to maloom hoga he k humare jism ko tawanai kahan se milti hai? Jee han hum jo khurak khate hain aur peete hain wo humare jism ko energy deti hai aap ko Body Banane aur chaqu choband rehnte ke liye bharpoor ghiza ki zarort hai aur ye ghizaiyat ki ye zarorat khurak se puri hoti hai. Aap ke jism ko jo ghizaiyat darkar hai un mein proteins aur mukhtalif kisam ke carbohydrates, fats, vitamins aur minereals shamil hain.
Comments
Post a Comment