Zyada Der Tak Bethna Nuqsan Deh Hai Sitting Long Hours Health Hazard Long Sitting Position May Harm Yourself
Side Effects Of Sitting Down All Day Disadvantage Of Sitting For A Long Time
Bad Effects Of Too Much Sitting
|
Zyada Der Tak Baithe Rehna Aap Ke Liye Jaan Lewa Sabit Ho Sakta Hai!
Dunya bhar mein kai aram pasand afraad aisy hai jo har kaam beth kar karne ke aadi hote hain aur apne din ka aghaz zyada tar waqt sirf beth kar guzar dete hain. Aisy afraad hoshiyar ho jayen kyun ki jadeed tehqeeq ke mutabiq musalsal baithe rehna jaan lewa sabit ho sakta hai. Spain mein Zaragoza University k mahireen ki nai tehqeeq se ye bat sabit hui hai dair tak beth kar kaam karne ki adat bais e halakat hai aur 54 mumalik mein labnon ka naam top par hai. Jahan bethne se hone wali halakatain duniya bhar mein sab se zyada hain aur aik andazy ke mutabiq 11.6 percent afrad maut ke mun mein chale jate hain.
Mahireen ka kehna hai k dunya ki 60% abadi din ke 3 ghante sirf beth kar guzar deti hai jis ki wajah se har saal maut ke mun me chale jane walay afrad mein 3.8 percent aisy afrad bhi shamil hain. Jin ki maut ka sabab koi bimari nahin balke musalsal baithe rehna hota hai. Is list mein lebanon baad netherlands mein 9.6 percent denmark mein 7.6 percent jab ke mexico mein bethe rehne ki wajah se amwaat ki tadad 0.6 percent hai.
Comments
Post a Comment