Beetroot Juice Health Benefits In Hindi Chukandar Khane Ka Tarika Chukandar Benefits In Urdu
Drinking Beetroot Juice Reduces High Blood Pressure Chukandar Ke Juice Ke Fayde In Hindi
Beetroot Juice Benefits for Health in Hindi/Urdu |
Beetroot Ke Fayde In Urdu Chukandar Ke Labh In Hindi Chukandar Ke Gun In Hindi
Aap ne aksar gharon mein dekha hoga kay salad mein shamil gajar kay juice kay sath aam taur par aik 2 tukray beetroot yani chukandar kay add kar diye jate hain taky rang acha lage kuch log chukandar ka juice bhi peetay hain kya iska koi nuqsan to nahin? Bilkul bhi nahin kyun ki chukandar to bohat achi sabzi hai aur aap ye jan kar heran honge gay kay chukandar ka juice apki sehat ke liye bohat faida mand hai. Purany daur mein Hakeem hazrat chukandar ko ubaal kar iss ka pani marizon ko pila kar pathri ka ilaj karte thy. Aaj bhi iskay juice ko sehat ke liye mufeed mana jata hai.
Chukandar Khane Se Kya Hota Hai Chukandar Kay Faiday
London mein ki gai research kay mutabiq chukandar ka juice high blood pressure mein bohat faida mand hai high blood pressure kay patients chukandar ke juice sey faida utha sakte hain iska 1 glass juice peeny se faraq par jata hai. Hamare haan chukandar keema aur chukandar gosht pakta hai iss mein chukandar kay naram pattay bhi shamil kar liye jate hain. Chukandar ki sabzi bhi patton kay sath banai jati hai isky khanay sey qabz jesi takleef deh bimari bhi nahi hoti balkay sardi key mosam mein joron ka dard ho to wo bhi theek ho jata hai. Iss say jism mein taqat aati hai kamzori door ho jati hai chukandar ubaal kar ya kachay he salad mein shamil kiye jate hain aur iska juice bohat faida deta hai.
Comments
Post a Comment