Daant Saaf Karne Ke Gharelu Nuskhe Danton Ki Peelahat Door Karna In Urdu Peele Danton Ka Ilaj In Hindi
Teeth Ko Safed Kaise Kare Dant Kaise Chamkaye Danto Ko White Kaise Kare
Teeth Whitening Tips At Home In Urdu
|
Teeth Whitening Home Remedies In Hindi
Sawal :- Mere danton ka rang peela hai kai tarha ka paste istemal karta hoon manjhan bhi magar mere dant sufed nahin hote kisi jagah gathering ya party mein jana ho to muje sharmindagi hoti hai. Chehra libaas sab thek thak hai magar daant peelay aur badnuma hain iske liye koi hal bata dain ke mere danton ki pelahat khatam ho jayen aur dant bilkul safed ho jayen.
Teeth White Karne Ka Tarika In Urdu Teeth Ko White Kaise Kare In Hindi
Jawab :- Insan ki shakhsiyat bohat si baton par munhasir karti hai kuch log samjhte hain kay agar unka rang kala hai to wo khud ko gora bana kar yani Rang Gora Karne Ke Tarike istemal karke apni personality ko char chand laga sakte hain. Kuch log ye sochte hain unki khubsurati unkay Haath aur paon mein chhupi hai aur wo samjhte hain kay Haath Paon Ko Gora Banane Ki Tips use karke wo khud ko attractive bana sakte hain lekin asal khoobsurti to aap ke danton mein chupi hui hai jab aap kisi se hum kalam hote hain to aap ke mun se nazar aany walay daant agar peelay hoon aur aapke mun se badboo bhi aati ho to phir koi bhi aap se bat karna pasand nahin karega iska hal ye hai ke aap pehle apne Mun Ki Badboo Door Karne Ka Tarika parhen phir Daanton Ko White Karne Ka Nuskha use karen.
Danton Ko White Karne Ke Liye Gharelu Nuskhe Daanto Ki Safai Kaise Kare?
Strawberry mein khasiyat hai ke iska adha tukra kaat kar danton par mal lain 2 ya 4 minute baad baqi aadha tukra bhi maliye aap ke danton ka peelapan nahin rahega. Pehle zamane mein chutki bhar namak aur chand qatry sarson ka tail mila kar raat ko danton par malte thy iss say bhi faida hota tha aur agar aap kisi achy se dawa khanay se manjhan le kar istemal kar sakte hain lekin danton ki hifazat karna aap ki zaroorat hai agar aap aaj inki hifazat nahin karenge khana khane se pehle toothbrush kiya karen aur har khanay ke baad danton ko apni shahadat ki ungli saaf karke coli kar liya karen.
Comments
Post a Comment