Molar Teeth Pain Relief Darh K Dard Ka Ilaj In Urdu Daad Ka Dard Ka Ilaj Darh Dard Ka Ilaj In Hindi

Molar Teeth Pain Relief Molar Pain Treatment داڑھ کے درد کا علاج



Molar Teeth Pain Treatment at Home in Urdu
Dental Pain Care Tips Home Remedies in Hindi



Molar Teeth Pain Adults Molar Tooth Pain Relief Darh Ka Dard Ka Ilaj




Darh ka dard bohat takleef deh hota hai khas kar jab aap ki aqal darh nikal rahi hoti wo bohat painful hoti hai. Darh ka dard fitri amal hai isliye aap ko zyada ghabrane ki zarorat nahin lekin agar aap ko lambay arsay say danton mein pain ho rahi hai ya phir aap ki darh mein dard hai to phir aap ko kisi achy dentist se ilaj karwa lena chahiye. Darh ke dard mein insan danton ki gandgi ki wajah se bhi mubatal ho sakta hai isliye aap ko chahiye Allah Taala ki di hui naimat ki qadar aur apne danton ko saaf rakhen bachpan agar aap laparwahi ki wajah se apne danton ka khyal nahin rakh paye to parehsani wali koi bat nahin aap abhi bhi apne danton ki safai achay tarike se karke dobara apne danton ki pelahat ko khatam kar sakte hain danton ki safai karne ke liye meri post Daanto Ki Pelahat Ko Door Karne Ke Tarike read karen. 

Daanton Ki Safai Karne Ke Tarike in Urdu/Hindi





Iske baad agar aap ke daant sirf peelay hain lekin gandy nahin huay to phir aap apne danton ko jaldi sufed kar sakte hain iske liye apko ziada mehnat nahin karni paregi aur aap ke dant chamak jayege iske aap meri post daanton ko sufed banane ki tips read karen.



Daanton mein dard ki bohat sari wajhuhat ho sakti hain isliye aap danton ka khas taur par khayal rakha karen inko waqt par saaf karen aur rozana brush karen. Agar aap ke dant kisi wajah se painful hain to aap meri post Toothache Treatment at Home zaror read karen.




Danton ko keera lag jane ki wajah se bhi aap ke darh ya dant mein dard hota hai isliye aap ko iss bat ka bhi khayal rakhna chahiye ke kahin aap kay danton mein keera to nahin lag gaya aur agar aap ke danton mein is waqt keera laga hua hai to aap ghar bethay danton ka keera desi tarike se khatam kar sakte hain iske liye meri post teeth cavity treatment read karen.


Darh ka dard bhi insaan ko jeene nahin deta ye bohat takleef deh amal hota hai aur kai dafa aisa hota hai kay aap ki darh mein bohat shadeed dard rehta hai lekin phir khud he theek ho jata hai.
Iske liye aapko doctor ko zaror checkup karwana chahiye darh ka dard gharelu totkay se bhi theek kiya ja sakta hai ek baar Dr. Muhammad Allama Iqbal Hakeem Ajmal Khan Sahib ke pass bator e mehman gaye aisa ittefaq hua aadhi raat ko darh mein aisi tess pari ke dard na qabil e bardasht ho gaya unhon ne nokar ko utha kar Hakeem sahib kay pass bheja. Hakeem Sahib so rahe thay unhon ne paigham sun kar aik piyali mein dawa bhijwai aur kaha jiss darh mein dard ho raha hai wahan iss dawa ko rakh kar upar wali darh se daba lain. 

How To Stop Molar Tooth Pain With Home Remedies?




Allama sahib ne aisay he kiya thori dair mein dard khatam ho gaya subah utha kar unhon ne hakeem sahib say pucha aap ne raat ko dawa bhijwai thi iss se aaram aa gaya aap ne kon si dawa di thi? Hakeem sahib pehle to mazaq mein taltay rahe phir kaha adrak par namak laga kar bhej diya tha to aap ne adrak ka kamal dekha ab to jadeed tarika e ilaj hai waqti taur par azma kar dekh lain darh mein keera laga hai to saaf karwa lain ya isay bharwa lain danton ki safai ka khas khayal rakhiye dard nahin hoga aur neem kay darakht ki miswak karne se bhi aapke dant kharab nahin hote.

Comments

Popular posts from this blog

Aankhon Ka Phadakna Kya Hai Eye Twitching Causes and Facts Aankhon Ka Fadakna Haqeeqat aur Ghalat Fehmiyan

Badhazmi Ka ilaj in Hindi Khatti Dakar and Loose Motion Acidity Treatment in Hindi Khatti Dakar Ka Gharelu ilaj

Hips Badhane Ki Cream Hips Mote Kaise Hote Hain Hips Badhane Ke Tips Peeth Me Dard Ka Ilaj Hips Bada Karne Ki Medicine