Nakhun Ka Tootna Nakhun Ke Rog Nakhun Ki Bimari Ka Ilaj Nail Diseases In Hindi Nails Problem And Solution In Urdu
Brittle Nail Treatment At Home Nakhun Ka Tootna Ilaj At Home In Urdu
Nails Ka Tootna Brittle Nail Treatment at Home |
Nakhun Ka Toot Jana
Mujhe nakhun barhanay ka bohat shauq hai magar pata nahin kyun mere nakhun toot jatay hain zara sa nakhun barhta aur phir toot jata hai nakhun kaise mazboot ho sakte hain?
Nakhun barhany ka shauq sab ko hota hai lekin koi ye nahin sochta kay nakhun barhany kay baad apne nails ko shape mein kaise rakha jaye nakhun barhana bhi ek fun hai nakhun barhany ka tarika parhny ke liye meri post Nails Barhane Ki Tips read karen.
Nails barhana to zaroori nahin hota lekin agar aap ko shauq hai bary nakhun rakhny ka to phir aap ko chahiye apny nakhun ko mail kuchail se saaf bhi rakhen aur inki safai ka khas khayal rakhen. Khair nakhun totna band karne ke liye aap 3 se 4 lehsan pani mein bhigo lain jab achi tarha bheeg jayen to iss pani mein nakhun dabu lain nakhun ko tootne se bachany ka sab se acha tarika ye bhi hai kay aap lehsan ko cheeliye iss say bhi aap kay nakhun sahi rehte hain.
Nakhun barhany wali shaqueen khawateen ko chahiye ke wo artifical nail art use karen kyunki aaj kal bazar mein aam nail art mil jati hai jisko aam ki khas mauqa par laga kar kisi bhi event mein shirkat kar sakti hain. Iske ilawa ap shehad mein lemon ka ras mila kar nakhun par laga sakti hain. Mehndi lagane se bhi nakhun chamkdar rehte hain. Mehndi nakhun ko kharab nahin hone deti shart ye hai ke mehndi mein kisi kisam ka chemical nahin hona chahiye.
Comments
Post a Comment