Pait Me Dard Kyu Hota Hai Pait Dard Ka Gharelu Nuskhe Green Papaya Benefits In Urdu Pait Dard Ke Gharelu Upay In Hindi
Health Benefits Of Papaya In Urdu Abdominal Pain Ka Ilaj Stomach Pain Ka Ilaj In Hindi
Stomach Pain Ka Ilaj In Hindi
|
Green Papaya Health Benefits
|
Abdominal Pain Treatment At Home Stomach Pain Treatment Home In Urdu
Mareez Ka Sawal :-
Meri umar 22 saal hai mere pait mein dard rehta hai bohat sari dawaiyan khai lekin waqti taur par aram aata hai mujhe koi acha sa mashwara dain jis say main theek ho jaon hospital say test bhi karwaye thy test to clear hain lekin pait mein dard kyun hota hai iska koi hal tajveez farma dain.
Hakeem Sab Ka Jawab :-
Pait ka dard hona aam bat hai lekin agar ye pait dard kafi dino tak rahe ya phir achanak se pait mein maroor parhna shuru ho jaen to phir ye khatarnak sabit ho sakta hai. Pait mein dard ki wajah ye bhi ho sakti hai kay aap ne kabhi bazaari chezain khayi hoon jiski wajah se aap ka maida chopat ho gaya ho. Aap ko pata hona chahiye ke humara stomach theek work kare to humara sehat bhi achi rehti hai. Bhook lagti hai khana hazam hota hai khoon banta hai koi bimari nahin hoti. Pait mein dard hone ki koi na koi gadbad zaroor hoti hai jis say apke pait mein dard rehta hai. Aap aisay karen 2 ya 3 kachay papeete lay ayein aur inko dho kar khushk kar lain. Inka chilka na utarain balky churi ki madad say halka halka khurch kar saaf kar lain ab lambai kay rukh mein tukray kaat lain. Kaddu ka saib wala sirka khareed lain aur khas taur par kaddu ka quetta wala khalis sirka acha hota hai iss mein chemicals nahin hote aur sirka to waisay bhi sehat ke liye acha hota hai.
Kacha Papaya Benefits In Hindi
Ab kisi sheeshay ke martban mein papeetay ke tukre daliye aur sirka milaye sirka tukron kay upar tak aana chahiye. Martban ko band karke 10 din ke liye kisi jagah rakh dain. Din me 2 bar hila diya karen. 10 din bad iss mein chutki bhar namak aur 11 kali mirch pees kar mila dain. Din mein 1 bar papitay ka aik tukra nikal kar khaiye. Kuch logon ki tilli barh jati hai 2 se 3 haftay tak papitay ka 1 tukra khanay se theek ho jati hai. Papeeta wasay bhi hazmydar hota hai. Khanay ke bad 1 ya 2 qatlay kha lain to hazma rehta hai. Phalon ki chaat mein papeeta shamil kiya jaye to zaiqa dobala ho jata hai. Aap bhi kha kar dekhiye insha Allah pait dard thek ho jaega. Hamesha Bismillah parh kar seedhay hath say khana khaiye baad mein Allah Taala ka shukar ada karen kehne ko to ye choti si bat hai lekin iskay faide bohat ziada hain.
Comments
Post a Comment