Sugar Se Kaise Bache Sugar Se Bachne Ke Gharelu Upay Sugar Se Bachne Ka Tarika In Urdu
Blood Sugar Ki Jankari Hindi Me Sugar Se Bachao Sugar Se Parhez Kaise Kare?
Sugar Say Kaise Bacha Jaye in Urdu Diabetes Prevention Tips |
Mareeza Ka Sawal :-
Mere susral mein sab ko sugar hai mere shohar bhi sugar kay mareez hain. Mujhe dar lagta hai kahin main iss marz ka shikar na ho jaon main bohat pareshan hoon please mujhe koi asan sa hal bata dain. Shukriya
Hakeem Sab Ka Jawab :-
Bibi, Allah Taala he insan ko har pareshani aur aafat se mehfooz farmanay wala hai aap ye weham na he palen to acha hai. Harvard ki University mein kai saal pehle aik research say maloom hua tha kay jo khawateen muthi bhar mughziat khati hain wo iss khatarnak marz se mehfooz rehti hain. Aap aisa karen Akhrot ki giri nikal kar 4 badam lain aur mongphali kay chilay hue danay le kar kha lain. Kbhi kabhi in teeno se koi bhi maghaz mila kar kha sakti hain. Iska faida ye hoga kay in mein na jamne walay fats majood hote hain jiss say dil aur shariyanain mehfooz rehti hain. Haftay mein taqreeban 5 bar 250 gram maghziyat khanay se faraq parta hai. Aur aaj kal to sardi ka mausam hai Allah kay paida kiye hue khushk meva jaat bhi istemal karne chahiye. Sugar se bachne ke liye mazeed prevention tips aap meri post Sugar Ke Liye Parhez Sugar Se Bachne Ke Tarike mein bhi read kar sakti hain. Allah Taala hum sab ka hami o nasir ho Aameen.
Comments
Post a Comment