Dry Lips Treatment At Home In Hindi Lips Ki Care Kaise Kare Honton Ki Khubsurti Tips In Urdu

Dry Lips Care Home Remedy Khushk Honton Ka ilaj


Khushk Lips Ko Naram Karne Ka Tarika


Lips Care Home Remedies In Urdu




Honton hamare chehre ki khubsurti mein bohat eham role play karte hain kuyn ki hum insan apas mein aik dosray sey jab hum kalam hote hain to aap key sath baat karne wala shakhs aap kay chehre ki taraf dekhny ki bajaye aap kay honton ki taraf nazar dorata hai. Aisay mein agar aap kay hont pur kashish na hoon ya phir siyah ho chukay hoon to phir aap ki personality mein faraq parta hai aur apki natural beauty chup jati hai. Jo log meri ye post read kar rahay hain agr aap kay hont dark ho chuke hain to aap meri post Kalay Honton Ko Gulabi Karne Ka Tarika ek bar zaror read karen muje umeed hai aap kay honton ki siyahi khatam ho jayegi. Ab honton ko le kar bohat sey masail janam le rahe hain kuch khawateen o hazrat apne mote hothon ki wajah sey bohat pareshan rehty hain.

Lekin ghabraiye mat kyunki humare pass is problem ka soution hai Mote Honth Patla Karne Ki Beauty Tips read karen. Lips beauty matter karti hai agar aap kay lips par freshness aur glowing nazar aa rahi ho ye aapke chehry ki khoobsoorti mein izafa karte hain agar aap kay hont patle hain aur aap apne patlay honton ko mota karna chahte hain to aap meri post Patle Honton Ko Mota Karne Ka Tarika parh sakte hain. Lips ki qudrati taur par surkh bhi kiya ja sakta hai agar aap apne black lips ki wajah sey pareshan hai to phir Lips Red Karne Ka Tarika bhi parh lain.


Lips Ko Khoobsorat Banane Ke Tarike


Honton ki banawat qudrat ne bohat nazuk banai hai kuch logon ki aadat hoti hai kay apne honton mein pen ya pencil daba lete hain aur kuch apne upar aur nechy walay honth ko apne danton sey dabate rehty hain jiski wajah sey aap kay hont mote ho jate hain jo log mun mein ungli ya angootha daal kar chosty rehty hain inka nechy wala hont mutasir ho kar mota ho jata hai.


Aur jin logon ko gaye bhains ka gosht khanay hota hai in kay hont bhi mote aur badhy hote hain. Honton ki jild mutasir hoti hai.

Natural Remedies For Dry Lips In Winter


Garmion mein aur sardioyn ke mosam mein jab bhi keeno ya mousami waghera khayen usky baad aik phaank cheel kar apne honton par ahista ahista mal lain iss sey ap kay hont naram rahenge. Desi gulab mil jaye to aik phool ki sirf patiyan le kar pees lain aur isay fresh butter mein mila kar apne honton par lagayen. In pankharion mein Vitamin E aur Vitamin B-5 hai jiski wajah sey aap kay honton ko ghizaiyat milegi aur wo naram rahenge. Raat ko naaf kay andar thori si roi mein tail laga kar rakhen aur subah nikal dijiye chand roz mein honton ki khushki ghayeb ho jayegi. Ghar mein taza doodh ata hai to iss par qudrati taur par halki si chiknai upar aa jati hai isay chammach ki madad sey nikal kar apne honton par lagain. Kache doodh sey lips fresh rehty hai isky ilawa soty waqt aap honton par thora sa tail lagain aur agar aap motay honton par tariky sey llipsticklagayen to wo bhi achy aur khoobsurat lage gay.

Comments

Popular posts from this blog

Aankhon Ka Phadakna Kya Hai Eye Twitching Causes and Facts Aankhon Ka Fadakna Haqeeqat aur Ghalat Fehmiyan

Badhazmi Ka ilaj in Hindi Khatti Dakar and Loose Motion Acidity Treatment in Hindi Khatti Dakar Ka Gharelu ilaj

Hips Badhane Ki Cream Hips Mote Kaise Hote Hain Hips Badhane Ke Tips Peeth Me Dard Ka Ilaj Hips Bada Karne Ki Medicine