Headache Natural Treatment Sir Dard K Desi Totkay Sir Dard Ka Gharelu Upchar In Hindi
Headache Ka Gharelu Ilaj Headache Home Remedies In Urdu
Headache Ka Gharelu Ilaj
|
Sir Dard Ka Desi Gharelu ilaj at Home in Hindi
Main jahan kaam karti hoon wahan kafi log hote hain aur shor bhi rehta hai mere sir mein dard hone lagta hai aisa lagta hai kay main tanau ka shikar ho gayi hoon. Mere sir mein bohat shadeed dard hone lagta hai Headache ka shikar ho jati hoon. Kanpati ki ragain bhi pharakti hain ghar aa kar thori dair kay liye andhere kamray mein lait jati hoon to phir he kaam kaaj kay qabil hoti hoon. Roz roz sir dard ki goliyan bhi nahin khai jatin iskay liye desi mashwara tajveez farmain.
Mohtarma hamaray haan dekha jaye to bila wajah shor hota rehta hai kuch logon ko bhi unchi awaz mein bolne ki adadt hoi hai. Ab aap kisi ko mana bhi nahin kar sakte hain kay bhai na bolo thori dair kay liye chup kar jao isky liye aap ko he kuch karna parega. Main ne ek nayi research parhi hai jis mein anaar aisi halat mein insan kay liye bohat mufeed sabit hua hai iss mein vitamin C, sodium aur calcium waghera shamil hone ki wajah sey ye sehat ko qaim rakhta hai. Hakeem log is ka sharbat bana kar rakhte hain anaar ka sharbat hazmydar bhi hota aur ye Khatti Dakar aur matli mein bhi faida mand hai. Aap aik baray kandhari anar ka juice nikal kar peena shuru kar dain. Bazaron mein packed anar ka juice bhi milta hai wo bhi mufeed hota hai.
Aap ek glass anar ka juice ghar aa kar peena shuru kar dain aap 3 hafty ye juice try karke dekhe aap ko pehle he hafty mein sakoon mehsoos hona shuru ho jayega. Phir aap kay zehan ka tanau kam hota jayega aur aap ka Blood Pressure bhi normal ho jayega. Anar ka sharbat bhi garmi kay mausam mein mufeed hai. Pehle zamanay mein log aik bara anar le kar is tarha khatay thy kay iska aik dana bhi zaya nahi hone dete thy. Quran e Pak ki 3 suraton mein anar ki zikar aya hai isliye log anar ko sehat hasil karne aur shifa kay liye dawa se behtar mante thy aur isay kha kar ya iska juice pee kar faida uthaty thy. Aap bhi ek glass anar kay juice sey faida hasil karen apko bhi faida hoga. InshaAllah.
Comments
Post a Comment