Chehre Ke Keel Muhase Chehre Ke Muhase Ka Ilaj Muhase Face Treatment

Keel Muhase Treatment In Urdu Keel Mahasay Ka Ilaj In Urdu


Keel Muhase Treatment In Hindi

Face Acne Muhasay Kay Nishanat




Kuch logon kay chehre par agar dany nikal aye to wo inko khujana shuru kar dety hain jiski wajah sey danay to theek ho jate hain par jo nishan baqi reh jate hain wo bohat bure lagte hain. Kabhi bhi aap ko agar keel muhasay nikal ayen to insay chair chaar mat karen kyun ki phir ye apni yaad dilate rehty hain. Muhasay chikni jild par nikalte hain chehre ki safai ka khaas khayal rakhen. Face ki care karne kay liye mukhtalif tips bhi batai ja rahi hain inko aik aik karke read karen.




Jo bachiyan 5 waqt wazzu karti hain aur namaz parhti hain inka chehera saaf aur roshan rehta hai ye qudrati taur par Noor hota hai jo namazi banday kay chehre sey wazeh hota hai. Aap kay liye kuch tips hain jin par amal karke aap keel muhasay nikalne sey khud ko bacha sakti hain aur muhason kay nishan ko khatam kar sakti hain. Jin bachiyon kay chehry par danay keel aur muhasay nikalte hain unhy chahiye kay wo tez masalay wali chezen mat khayen apne monthly cycle ka khayal rakhen burger aur bakery etc ki chezen khana band kar dain. Simple ghiza aur Balanced Diet lain. Dahi ka istemal aur sabziyon ka zyada istemal karen coldrink na piyen balky zyada sey zyada pani peeny ki koshish karen pani jild ko nami deta hai.



Keel Muhase Ka Gharelu Ilaj Keel Mahasay Tips In Urdu




Aloe Vera mangwa kar rakhen iski shaakh ko tor lain aur peelay pani ko tissue paper sey saaf karen aur 1 inch ka tukra kaat kar iska guda nikal lain. Iss mein aik chamach shehad milain ab iss paste ko dano kay nishanat par garha garha paste laga kar 20 ya 25 minute kay liye chor dain. Phir issay tissue paper sey saaf karke mun dho kar khushk karen. Thora sa arq e gulab laga kar khushk hone dain. Chand roz lagane sey nishanat madham parhne lagen ge. Aloe Vera aur shehad chehry kay dano ke liye mufeed hai.




Comments

Popular posts from this blog

Aankhon Ka Phadakna Kya Hai Eye Twitching Causes and Facts Aankhon Ka Fadakna Haqeeqat aur Ghalat Fehmiyan

Badhazmi Ka ilaj in Hindi Khatti Dakar and Loose Motion Acidity Treatment in Hindi Khatti Dakar Ka Gharelu ilaj

Hips Badhane Ki Cream Hips Mote Kaise Hote Hain Hips Badhane Ke Tips Peeth Me Dard Ka Ilaj Hips Bada Karne Ki Medicine