Diabetes Control Karne Ke Gharelu Nuskhe Sugar Ko Control Karne Ka Tarika In Urdu Sugar Ko Rokne Ke Upay In Hindi

How to Control Diabetes Tips In Urdu/Hindi

Diabetes Ko Kaise Control Kare Diabetes Control Tips In Urdu




Sugar ya ziabetus daur e jadeed ki aam bimari hai duniya bhar mein sugar kay marizon ki tadad 40 crore tak batai jati hai ye aik metabolic disease hai jo kay khoon mein glucose kay level mein izafa karti hai. Jiski wajah sey sugar level unbalanced ho jata hai. Is marz ko nazar andaaz nahi kiya ja sakta hai kyun ki isky natije mein asabi nizam tabah ho jata hai. Sugar ka marz rozana ki bunyad par tawaja chahta hai aur kai sada tarike apna kar isay qabu mein rakha ja sakta hai. Mahireen sab sey pehle sehatmand tarz e zindagi apnane ki ahmiyat par zor dety hain. Experts sab sey pehly sugar kay level ko control rakhne ka mashwara dety hain experts kay mutabiq ziabetus kay shikar afrad kay liye darj zail hidayat par amal karna zarori hai.


Hum jo ghiza khatay hain wo khoon ka hissa ban jati hai aur diabetes mein ghiza ka intekhab bohat zarori hai. Ghizai ehtiyat sey is marz ki pechedgi ko kam kiya ja sakta hai ziabetus kay shikar afrad kay liye zarori hai kay wo carbohydrates chiknai aur protien ka khas khayal rakhen aur kam calories wali ghiza khayen. Achi khurak sey wazan ko kabu mein rakhen khoon mein shakkar ki miqdar ko limit par rakhne aur khoon mein fats kay level ko control karne mein madad milti hai. 


Diabetes kay mareez rozana kam az kam 30 minute warzish ko apna mamool bana lain ye warzish jogging bhi ho sakti hai aur koi bhi jismani mushqat bhi ho sakti hai. Warzish poray jism par postive effect dalti hai aur insulin ki jazbiyat ko barha kar ziabetus kay marizon mein khoon mein sugar level kam karti hai aur sath he charbi bhi kam karke badan ko mazeed pechidgion sey mehfooz rakhti hai isliye sugar kay marizon kay liye excercise bohat zarori hai.



Zehni tanau aik khatarnak shy hai jiss sey chutkara pana zaruri hai khaas taur par diabetes kay marizon mein ye blood pressure ko barhata hai. Yoga aur dusry tarikon sey tanau ko door karke khud ko pursakoon rakhiye to isky zabardast asrat maratab honge. Doctor jo bhi adviyat tajveez karen unka nagha na karen aur medicines time sey khate rahen. Kyun ki in mein sey baaz medicines lab labay ko muharik karti hai kay wo insulin paida kare aur kuch insulin ko behtar banati hain is liye zarori hai kay apne doctor kay mashwaray sey dawai zaror khate rahen sugar kay mareez insulin istemal karte hain jo khoon mein shakkar ki miqdar barqarar rakhne mein helpful sabit hoti hai isliye insulin ka teeka ya pump iska nagha karna drust nahi insulin ka istemal karte hue doctor sey mashwara karna zarori hai.

Comments

Popular posts from this blog

Aankhon Ka Phadakna Kya Hai Eye Twitching Causes and Facts Aankhon Ka Fadakna Haqeeqat aur Ghalat Fehmiyan

Badhazmi Ka ilaj in Hindi Khatti Dakar and Loose Motion Acidity Treatment in Hindi Khatti Dakar Ka Gharelu ilaj

Hips Badhane Ki Cream Hips Mote Kaise Hote Hain Hips Badhane Ke Tips Peeth Me Dard Ka Ilaj Hips Bada Karne Ki Medicine