Hair Dandruff Treatment At Home In Urdu Zaitoon Ka Tail Balo K Liye Balo Ki Khushki Ka Ilaj In Urdu
Add caption |
Hair Dryness Solutions In Urdu Khushk Balon K Totkay
Baalon Kay Masail Sey Mutaliq Tips
Hakeem Sahib Ka Jawab :-
Zaitoon kay tail kay hawaley sey iss tarah ki malomat mere ilam mein to nahi hain kay zaitoon ka tail sir mein lagany sey patthay khich jate hoon haan albata mera mutaliya k mutabiq roghan e zaitoon garam tar hota hai aur kamzor azaa aur asab ko mazbooti deta hai. Androni chot ki sozish, kamar dard, asabi dardon aur hadiyon ko taqat muhaiya karta hai. Iski malish bhi ki jati hai aur isay makhsoos miqdar mein bhi piya jata hai gurday aur pittay ki sifri pathriyon ko pighlane kay liye bhi istemal kiya jata hai. Jismani azaa mazboot aur perwarish pate hain balon ya sir ki khushki waghera door karne kay liye iska istemal kisi expert doctor k mashwary sey kiya ja sakta hai. Baalon ko le kar larkiyon ko bohat saray issues ka samna karna parta hai in issues ki wajah aur inky hal kay liye aap meri posting nechy diye links par click karke one by one read kar sakti hain.
Different Kind of Hair Problems Causes and Solutions
- Hair Long Karne Karne Ka Tarika Balon Ko Lamba Karna
- Kamzor Baalon Ko Mazbot Karna Strong Hair Tips
- Patle Balon Ko Mota Karna Baal Ghanay Karna Hair Thickness
- Hair Color Karne Ka Tarika Baalon Ko Color Karna
Hair Dandruff Solution At Home In Hindi
Sir ki khushki door karne kay liye daal maash aur aik pao mehndi kay patay aadh pao aur kalonji aik chatan mix karke powder bana lain. 2 chamach powder dahi ki malai hasb e zaroorat mein achi tarah hal karke balon ki jaron samait kinaron tak laep kar lain. 2 ghantay tak laga rehny kay baad sir dho dalain. Neem khushk balon mein sarson ke tail sey khoob massage karen aur aik ghanta balon ko dhoop mein khula rakhen. 2 sey 3 bar lagane sey he khushki khatam ho kar baalon mein chamak, mulaim aur tazgi paida ho jayegi. Dhayan rahe balon ki behtar nashonuma, lambai, chamak aur khubsurti ke liye matwazan ghiza aur munasib ghiza ka istemal bohat zarori hai. Calcium, potassium, phosphorus, magnesium, jast, idoine, sulfercoper, iron chlorine, aur oxygene waghera sey bharpoor ghizayen daily khurak mein lazmi shamil karen. Yoga warzish karen positive thinking rakhen aur harkat karte rehna bhi baalon ki sehat aur afzaish kay liye behtreen hai.
Comments
Post a Comment