Migraine Symptoms And Treatment In Urdu Dard E Shaqiqa Ka Ilaj In Urdu Dard E Shaqiqa Treatment In Urdu
Migraine Upchar In Hindi Adhe Sar Dard Ka Totka
Migraine Treatment at Home In Urdu/Hindi |
Migraine Desi Treatment
Samina jhang sey kehti hain. Hakeem sahib meri umar 20 saal hai mera masla ye hai kay mujhe dimaghi kamzori bohat ho gai hai dayen taraf adhay sir mein bhi dard rehta hai kabhi bayen taraf bhi dard ho jata hai. Gas aur qabz bhi rehti hai main is wajah sey bohat pareshan ho barah e meherbani mujhe koi desi nuskha tajveez kar dain.
Migraine Treatment In Homeopathy In Hindi
Hakeem Sahib Ka Jawab :-
Adha Sir Dard Ka Upay Adhe Sar Dard Ka Ilaj In Urdu
Mohtarma aap darj zail nuskha istemal karen subah aur shaam khanay sey adha ghanta pehle khameera badam adha chaye wala chamach aur khameera gaozaban ambari(گاؤزبان عنبری) jawahar dar 1 chaye wala chamach doodh key saath khayen. Subah dopahar sham khany ke baad safoof namak sulemani adha chamach chaye wala jawarish shahi 1 chamach chaye wala pani kay sath khayen raat ko sote waqt اطریفل، اسطوخودوس 1 chamach chaye wala aur حب تنکار goli kay sath neem garam pani kay sath khayen Insha'Allah shifa hogi. Ghiza mein shehad, sabudana, daliya, shurba, yakhni, methi, kaddu, salad, gajar, moli aur phalon ka istemal karen. Dair tak hazam hone wali khurak aur badi cheezon sey perhaiz karen.
Comments
Post a Comment