Dehydration Ka Desi Ilaj Pani Ki Kami Ka Ilaj In Urdu Pani Ki Kami In Body Desi Ilaj

Water Deficiency In Human Body Pani Ki Kami Ki Alamat


Water Deficiency in Human Body Dehydration Treatment in Hindi/Urdu

Pani Ki Kami Ko Poora Karne Wali Ghazaein Pani Ki Kami Ko Pura Karne Ka Tarika




Hamari zindagi mein pani markaz e hayat ka darja rakhta hai. Doctor rozana 8 se 10 glass pani peene ki hidayat karte hain,jo k aik masroof din mein mushkil kaam ban jata hai.Aik dilchasp baat ye hai k hamare jism mein pani ki 20% zaroorat thos khorak bilkhasos sabziyon aur phalon se poori ho sakti hai goya hum pani sirf pee hi nahi balke khaa bhi sakte hain.Garmiyon mein pyaas ki bhadti hui shiddat aur Dehydration se bachao ke liye darj zail 15 sabziyon aur phalon ka istemaal mufeed ho sakta hai. In ka 90% se ziyada hissa pani par mushtamil hota hai.


KHEERA : Kheera garmiyon mein aane wali sabzi hai aur kisi bhi thos ghiza mein pani ki sabse ziyada miqdar kheeray mein paee jati hai.Kheera salad ki soorat aur slice kar k bhi khaya jata hai aur aap dahi,dhania,pudina aur ice cubes ke saath mila kar kheera soup bhi bana sakte hain.jo garmiyon mein bohat faida mand sabit hota hai.Garmiyon mein kheeray ka rozana istemaal aap ke jism mein pani ki miqdar ko balance rakhta hai jo k aap ki skin ke liye bhi bohat faida mand hota hai.


SALAD KE PATTA Ye kehna to drust na hoga k salad ke patton mein manfi calories hoti hain,ye is hadd tak drust hai k salad ke patta bohat kum calories rakhte hain magar in mein Vitamins A,C&K aur Folate ki behtreen miqdar paee jati hai.jab k ye pani se bhare hote hain in k mustaqil istemaal se dil ki bimaariyan aur asabi kamzori se bchao hasil hota hai.


Agar Cancer k kisi mareez koi is kism ki sabziyan jaise phool gobhi waghaira khilai jaein to iss se un ko is marz mein jaldi Recovery ka mauqa milta hai.phool ke patton aur phoolon ko bareek kaat kar aap salad ke tor par istemaal kar sakte hain aur isse halka fry kark bhi khaya ja sakta hai.
Palak : Band gobhi ke muqable me palak mein pani ki miqdar kam hoti hai,lekin phir bhi hum palak ko ziyada behtar samjhte hain. Aap palak ko salad k tor par istemaal kar sakte hain ya phir isse sandviches mein bhi khaya jata hai is se na sirf pani ki bharpoor miqdar aap k jism ko milti hai balke palak mein shaamil Potassium ke fiber aur dimaag ko tez karne wale ajza Folates bharpoor hota hai. Palak ka 1 cup jism ki rozana ki zaroorat k mutabiq 15% Vitamin E De sakta hai.Vitamin E jism me tabah hone waale Molecules ko dobara banane mein madad deta hai.

GRAPEFRUIT : Ye bohat hi russ bhara fruit hai jo hamare jism mein Cholesterol level ko kam rakhne mein madad deta hai. Aur waste line ko kam karta hai. jo log grapefruit istemaal karte hain wo 1 din mein 15.5% aur 27% tak Triglycerides ko kam rakhte hain.kyun k is mein 40 Calories hoti hain is liye agar diet food lene waale log jin ka weight 12 hafton mein 3.5pounds kam ho jata hai agar khaane se pahle isse aadha kha lete hai to ye unke liye bohat mufeed hai.Is ka khana Blood Sugar level ko control rakhta hai.


Kharbooza : Kharbooza mein pani ke sath doosre ghazai ajza bhi kam Calories ke sath

Comments

Popular posts from this blog

Aankhon Ka Phadakna Kya Hai Eye Twitching Causes and Facts Aankhon Ka Fadakna Haqeeqat aur Ghalat Fehmiyan

Hips Badhane Ki Cream Hips Mote Kaise Hote Hain Hips Badhane Ke Tips Peeth Me Dard Ka Ilaj Hips Bada Karne Ki Medicine

Badhazmi Ka ilaj in Hindi Khatti Dakar and Loose Motion Acidity Treatment in Hindi Khatti Dakar Ka Gharelu ilaj