Nazar Ki Kamzori Kay Elaj In Urdu Nazar Ki Kamzori Ka Desi Ilaj Urdu
Nazar Ki Kamzori K Totkay Nazar Ki Kamzori Ka Totka
Ankhon Ki Kamzori Ke Liye Desi Tips Gharelu ilaj |
Weak Eyesight Solution In Hindi Kamzor Nazar Ka Desi Ilaj
Technology kay is daur mein jab computer, mobile, laptop jaise cheezen bohat aam ho chuki hain wahi insan ki nazar par bohat asar par raha hai. Mobile ki light itni tez hoti hai aur log isay apni aankhon kay bilkul nazdeek karke istemal karte hain isi tarah working professionals jinka kaam computer par he hota hai wo bhi nazar ki kamzori ka shikar ho jate hain. Ankhon kay le kar bohat say masail samne aate hain aap ne aksar apni zindagi mein dekha hoga kay kuch log aisay hain jinki ankhon ki roshni kam hoti hai ya yun keh lain jinki aankhon key samne andhera cha jata hai aisy logon kay liye aap bhi madadgar ban sakte hain meri post Ankhon Ki Roshni Barhanay Ki Tips ko apne dost tak share kar kay agar wo shakhs theek ho gaya to iska sawaab apko bhi milega. Kuch khawateen o hazrat aisy bhi dekhy gaye hain jinki ankhon sey pani nikalta hai aur unki ankhen pani ki wajah sey behti rehti hain aisy logon kay liye bhi main desi totkay post kar chuka jo aap meri post Ankhon Sey Pani Ka Gharelu ilaj mein parh sakte hain. Ankhon qudrat ka besh qeemat attiya hain inki qadar karna hum par farz hai aankhon kay hawaley sey agar aap ye chahte hain apki nazar ki kamzori door ho jaye to ap meri post Best Foods for Your Eyesight zaror read karen.
Agar kisi shakhs ko nazar ki kamzori ki shikayat hai to aap ko chahiye kay aap sab sey pehle apni ankhon ka check up karwayen. Agar wo aenk tajveez karte hain to zaror lagwayen sonf kay nanhy nanhy danay dikhne mein to bohat chote hain lekin in mein Allah Taala ne nazar kay liye bohat shifa rakhi hai ye aap ki nazar ki kamzori ko door karte hain ghar mein sonf la kar rakhen. Halki si sonf ko bhoon kar iss mein badam, elaichi aur cheeni mila kar rakhiye bachay bhi khate rahenge. Sonf aur badam nazar kay liye faida mand hai.
Abhi bhi gajar ka mosam hai aur bachay wesy bhi gajar ka juice shauq sey peetay hain bazar mein dastiyab daba pack juices istemal karne ki bajaye fresh gajar le kar iska juice ghar mein banaye aur bachon ko pilayen aur iss mein 1 tukra chukandar bhi daal dain. 1 pao sonf le kar saaf kar lain is mein adha pao badam ki giri, adha pao nariyal, chatank bhar khashkhash aur 1 tola sufed rakhni mirch jisy white pepper kehte hain. Bareek pees kar iss mein cheeni ya misri milaye baray bachon ko aik tablespoon safoof shaam neem garam doodh kay sath dain isi tarah shaljam bhi nazar kay liye achi hai shaljam ko patton kay sath pakar kar khayen. Keeno fruiter, mousami aur saib waghera khilaye baar baar apni ankhon par pani kay chattay maren bachon ko wazu karne ki adat dalein 5 waqt wazu karne sey aankhen saaf aur roshan rehti hain.
Comments
Post a Comment