Aulad Na Honay Ki Wajoohat Banjhpan Kya Hota Hai Bacha Na Hone Ki Problem

Bacha Kaise Paida Kare In Urdu Bacha Na Hone K Karan In Hindi


Bacha Paida Na Hona

Marizon Kay Sawalat:-


Meri shadi ko 7 saal ho chuke hain lekin ab tak mere haan aulad nahi hai meri begum ki tube block hain doctors kehte hain tube baby karwa lain lekin humein tube baby ki sharai hesiyat ka kuch pata nahi mehrbani farma kar humein kuch batayen ke humen kya karna chahiye? Aik aurat ne pucha hai eggs ka size chota hai aur aik aur khawateen ka sawal hai kay mere shohar mein sperms ki kami hai.


Hakeem Sahib Kay Jawabat :-




Mujhe be auladi Banjhpan aur mardana wa zanana poshida amraz ke hawaley sey sab sey ziyada emails milti hain. Lekin main ne mozu ki hasasiyat ki wajah sey is par kuch likhne sey hamesha katrany ki policy apnai hamare nazdeek har fard juda mizaaj, khaslaton aur tabai zaroraton ka hamil hone ki wajah sey iski bimari ki wajuhat, mahol aur rozmara mamolat bhi mukhtalif aur fitri amar hai. Tube baby ki sharai hesiat janne ke liye kisi mufti sahiban sey raabta karen aur jahan tak tube block hone aur eggs ka size chota hone ya phir sperms ki matlooba tadad ka pura na hone ka taluq hai to is silsilay mein sab sey pehle aap meri post Pregnant Karne Ke Sahi Tarike parh lain jis mein aap ko is baat ka pata chalega ka pregnancy kaise ki ja sakti hai aur dusri baat ye hai ke agar aap ke husband ke sperms mein kami hai to iske liye aap meri post Sperms Barhanay Ke Tarike aik baar zaroor parh lain.



Aik aur baat ye bhi kehna chahon ga kay tube block hone andon ka size chota hona aur sperms ki tadad kam hona wagera bohat hasaas aur intehai ahmiyat ke hamil badani mamlat hain jo sirf aik email ki bunyad par hal nahi kiye ja sakte is silsile mein specialist har city mein majood hote hain aap sab log jo humen emails bhejte hain aap ke aitmad ka be had shukriya jis sawal ka jo jawab hota hai hum wahi dete hain aulad key hawaley sey ya amraz e khaas ke silsile mein humen emails bhejne walon ko yehi mashwara hai kay wo apne kisi muqami parhy likhy tabeeb doctor ya qualified homeopath sey mil kar apne amraz ke baray mein discuss karen aur apne doctor ki hidayat par amal pera ho kar jald az jald bimari sey nijat pane ki koshish karen. Totkon kay chakar mein par kar apna qeemti waqt aur paisa hargiz zaya na karen.

Comments

Popular posts from this blog

Aankhon Ka Phadakna Kya Hai Eye Twitching Causes and Facts Aankhon Ka Fadakna Haqeeqat aur Ghalat Fehmiyan

Hips Badhane Ki Cream Hips Mote Kaise Hote Hain Hips Badhane Ke Tips Peeth Me Dard Ka Ilaj Hips Bada Karne Ki Medicine

Badhazmi Ka ilaj in Hindi Khatti Dakar and Loose Motion Acidity Treatment in Hindi Khatti Dakar Ka Gharelu ilaj