Jismani Kamzori Door Karne Ka Tarika Weight Badhane Ke Desi Nuskhe In Urdu Mota Hone Ke Liye Kya Karna Chahiye Hindi
Weight Zyada Karne Ka Tarika Vajan Kaise Badhaye Gharelu Upay
How to Gain Weight Fast Naturally at Home In Hindi |
Apna Weight Kaise Badhaye Mota Kaise Ho Gharelu Upay In Hindi
How To Weight Gain Fast At Home In Urdu
|
Mareez Ka Sawal:- Jism bohat Kamzor Hai!
Aik Khatoon Jhang shehar se likhti hain ke meri umar 40 saal hai, aur jisamat bhi munasib hai.Mera masla ye hai ke Mere poorey jism mein Dard rehti hai.Jism mein bohat ziyada kamzori mehsoos hoti hai. Aur Thora sa bhi kaam kaaj kar loon to thakawat ho jaati hai.Test karwane se pata chala hai ke jism mein khoon ki Kami hai aur Hb sirf 8% tak hai.Ghutno ke nichle hisse me sujan rehti hai.Aur takhne bhi sooj jaate hain.Ghutno ke neeche surkh Lakeer ka aik jaal sa bana hua hai.Khaas tor par baye taang mein hawa bhari hui mehsoos hoti aur sozish si ho jaati hai.Aur issi taang mein shadeed dard bhi hoti hai. Koi munasib Dawa, mofeed Ghiza aur ilaaj tajveez kar dein?
Hakeem Sahib Ka Jawab:-
Agar aap waqai patle aur kamzor jism ko mota banana chahti hain to mere bataye huay tamam nuskhon ko ek baar zaroor parh lain kyon ki ye mene bohat mehnat ke baad aap logon ki khidmat mein paish kiye hain neche diye gaye links ko aik aik karke open karte jayen aur tamam nuskha jaat ko parh lain in mein jo nuskha aap ko asan lage aap zaror istemal karen.
Weight Increase Karne Ke Desi Totkay Wazan Barhanay Ke Herbal Nuskhe
- Pichke Kamzoor Gaal Ko Mota Karne Ke Tarike
- Charbi Barhne Ka Tarika Fat Hone Ke Tips
- Weight Gain Kaise Kare Weight Badhane Ka Tarika
- Mote Hone Ke Mukhtalif Tarike Mota Hona Hai
- Dublapan Door Karne Ke Desi Gharelu Nuskhe
Aap ke tamam masail ki wajah jism mein Khoon Ki Kami hai.Jaisa ke aap ne test report ke hawale se khud bhi bataya hai.Jismani chusti, Tawanai aur Sehat mandi ka bunyadi zariya Oxygen hai. Pathon ki mazbooti ka daromadar khoon mein fauladi zarraat ki mojudgi par hota hai. Jab khoon mein Oxygen ki matluba miqdar kam hone lagti hai to jismani kamzori se jism kayi doosre masail ka shikar ho jata hai. Meray khiyal mein kisi bhi mareez ko Mashware ki zaroorat us waqt hoti hai, jab usay apni beemari ke baare mein kuch bhi pata na ho. Lekin jab koi mareez apni jismani kafiyat, Qudarti zaroorat, aur marz ki condition jaanta ho, to usay sehat mand ya recover hone mein kisi bhi mushkil ya pareshani ka samna nahi karna parta.
Sab se pehle aap meday aur Jigar ki karkardagi kharaab karne waali Ghizaon se mukammal parhaiz karein. Rozana ki Khorak mein aisi cheezon ka istemaal ziyada se ziyada karein, jin mein Hemoglobin zyada miqdar mein payi jaati hai. Palak, Saib, Tamatar, Aaroo, Aaloo Bukhara,Angoor, Amrood, Aloo, Chukander, Gajar ka Murabba, Bahi Murabba waghaira aur doosre Ghizaie ajza ki munasib miqdar apni Khorak mein zaroor shamil karein.Taang par surkh Lakeer ke jaal ka bhi zikar aap ne kiya hai.In jaisi Alamat ko Edima ka naam diya jata hai.
Yeh aik Qabil e Tawajjuh aur aham masla hai.Aap ko chahiye ke ilaaj par forun Tawajjuh dein. Apna ilaaj khud karne ki bajaye kisi Specialist Doctor se raabta kar ke apni dawa aur Ghiza tajveez karein to zyada behtar hoga. Kyunki Ghizaie perhaiz to sirf hume Bimari se pehle ehtiyaat aur Hifzan e Sehat ke Usool par amal karna sikhata hai.Ye dhyan rakhen ke ilaaj kisi Expert Doctor se hi karwana chahiye.Yehi sehat mand zindagi ki taraf pehla Qadam hai, jis par amal kar ke hum sehat mand zindagi guzar sakte hain. Ye mufeed malomat Facebook, Twitter aur WhatsApp par apni family friends aur dusre logon ke sath bhi share karen.
Comments
Post a Comment