Motape Ka Ilaj In Urdu How To Get Slim Thighs For Women How To Lose Weight Naturally Without Exercise
Weight Kam Karne Ka Upay Ahista Say Khana Motapay Say Bachao Ka Asan Tarika
Weight Loss Tips For Women In Hindi Motapa Control Tips In Urdu |
Khurak ko munasib tarike say chaba kar nigalna jismani wazan mein kami ka asan tareen nuskha hai. Ye baat Amreeki tibbi tehqeeq mein samne ayi Texas Christian University ki tehqeeq kay mutabiq ahistagi say khanay aur chote luqmay lene say logon ko khanay kay kuch dair baad bhook ka ehsaas kam hota hai. Isi Tarah wo log jo sust rawi say khate hain wo ziyada pani bhi peete hain jis say inhen tabiyat sair hone ka ehsaas zyada hota hai. Muhaqqaq Professor Meena Shah kay mutabiq khanay ki raftar mein kami say zyada calories jism ka hissa nahi banti jis say motape ka khatra kam ho jata hai.
Zyada Protein Wali Ghizayen Motapay Say Bachati
Hain Pait Kam Karnai Kai Liyai Diet
Apni ghiza mein zyada protien ka istemal aap ko motapay say bachanay mein madadgar sabit hota hai. Sydney University ki tehqeeq kay mutabiq apne jismani wazan mein kami ke liye calories jalane ki bajaye aap ghiza mein protein say bharpur ashiya ka istemal zyada karen.
Research mein bataya gaya hai kay gosht, machli, anday waghera ka istemal is hawalay say behtreen hai kyon ki ye protein say bharpur ghizayen hoti hain.
Research mein bataya gaya hai kay gosht, machli, anday waghera ka istemal is hawalay say behtreen hai kyon ki ye protein say bharpur ghizayen hoti hain.
Motapay Say Nijaat Ka Mazedar Hal Wazan Kam Karne K Totkay in Urdu
Kya aap apne motapay say tang hain? Agar han to badamon ko khana apni adat bana lain. Pennsylvania State University ki tehqeeq kay mutabiq badamon ko rozana ki khurak ka hissa banane sey tond mein kami lane mein madad milti hai jo kay amraz e qalb ka khatra barha deti hai. Tehqeeq mein bataya gaya hai kay rozana 42 gram badamon ka istemal motapay say tahaffuz de kar amraz e qalb ka khatra kafi had tak kam kar deta hai.
Comments
Post a Comment