Dementia Treatment In Pakistan Dementia Treatment Natural With Blueberry | Diseases
Blueberry Ka Sirka Dementia Bhagane Mein Madadgar
Dementia Treatment in Pakistan Dementia Natural Treatment |
Dementia Treatment with Blueberry
America aur Europe mein aam payi jane wali blueberry ab Pakistan k baray stores par bhi dastyab hai. Haliya chand maah mein iske dimagh wa zehan par intehayi mufeed asrat samne aye hain. Ab taza ahwal ye hai kay blueberry ka sirka peene ya salad par chirak kar khane say dimaghi khuliyat
(Neurons) sir garam hote hain aur iska mustaqil istemal dementia samait kai dimaghi bimariyon ko rokta hai. Aik nayi tehqeeq k mutabiq blueberry ka sirka banne k amal mein aik khas murakkab paida hota hai jo dimag k liye aik behtreen tonic ka darja rakhta hai.
South Korea mein waqiya Konkuk University k sciencedano ne tehqeeq k baad kaha hai k blueberry ka sirka asaabi khuliyat ko quwwat deta hai aur dimagh mein aik aisa protein barhata hai jo dementia mein tezi say khatam hone lagta hai. Is waqt duniya bhar mein Dementia k 5 crore say zayed mareez hain aur ye tadad har 20 saal baad dugni ho jati hai. Ab tak iska koi baqaida ilaj nahin mil saka albata medicines say sirf iski bimari mein peshraft sust ki ja sakti hai.
Research Journal Agriculture Food Chemistry mein publish hone wali is tehqeeq mein chuhon ko jab blueberry ka ye sirka diya gaya to inke dimagh mein aik chemical Easytel Coline ki toot phoot bohat had tak ruk gai jo dementia aur degar amraz ki wajah banti hai. Mahireen ka khayal hai kay esitile colean dimaghi khuliyat ko tandrust rakhta hai aur chemical dimaghi khuliyat mein signal ko mumkin banata hai. Dementia ka marz isi chemical ko nishana banata hai.
Qabalaz kai mutaliyat say ye baat samne aa chuki hai kay blueberry ka baqaida istemal na sirf yadasht ko acha rakhta hai balky nau umar talba o talibat ke liye ye aik mufeed dimaghi tonic bhi hai.

Comments
Post a Comment