Namaz Mein Shifa Hai Namaz Deen Ka Satoon Hai Namaz Bemariyon Se Bachati Hai

Beshak Namaz Mein Shifa Hai




Iss hadees say ayaan hota hai kay namaz mein jahan rohani farhat aur itmenaan haasil hota hai wahan iss mein jismani sehat kay raaz bhi muzmir hain iss kay tamaam arkaan ko agar achi tarah aur ba qayedgi sey ada kiya jaye tau jismani bemarion se nijat hasil ho sakti hai tibbi nuqta e nigah sey cholesterol ko yani charbi jo kay sharyano mein tangi peda karti hai namaz ki warzish se wo aietadal par aa jata hai kyun kay ye tibbi usool hai kay hum din mein jitni baar khana khate hain itni hee bar cholesterol ki miqdar humare khoon mein aam satah se buland ho jati hai aur khoon garah ho jata hai.



isi garhay pan ka khatma namaz karti hai aur cholesterol ko bari hadd tak kam karne mein muawnat karti hai aik tibbi nuqta zehan mein rakhne ki zaroorat hai kay saath saal ki umar kay baad daura e dil zyada khatarnaak nahi kyun kay umer kay taqaze say jun jun dil ki shariyane tang hona shuru hoti hain Allah Taa'ala ki qudrat sey saath hee nai shariyane nikalne lagti hain jo ba waqt e zarurat khoon ki farahmi mein madad deti hain yun tau amraz e qalb kay liye darjano adviyat market mein majood hain jin mein angrezi adviyat ki tadad zyada hai jo kay jari butiyon ki bajaye masnui chemicals say tayar ki jati hain aur in kay side effects bhi zyada hote hain.



Lekin agar hum Tibb E Nabwi (S.A.W.W) ki baat karen to Jab Hazrat Saad Bin Abi Waqas (R.A) arza e qalb mein mubtala hue Hazoor e Akram (S.A.W.W) ne irshad farmaya "Apne Rab ki rehmat say gumrah log he mayoos hua karte hain aur sath he Aap S.A.W.W ne tabeeb kay pass jane lay jane ki hidayat farmai mualaj ne taleemat e Nabwi (S.A.W.W) ki roshni mein ilaaj kiya aur Hazrat Saad Bin Abi Waqas (R.A)
ne aisi shifa pai kay poray mashriq e wusta mein ghoomte rahe aur jangain larte rahe fatiha Iran kehlaye jab kay maujooda daur ka mareez sirhiyan bhi nahi charh sakta.

Comments

Popular posts from this blog

Aankhon Ka Phadakna Kya Hai Eye Twitching Causes and Facts Aankhon Ka Fadakna Haqeeqat aur Ghalat Fehmiyan

Hips Badhane Ki Cream Hips Mote Kaise Hote Hain Hips Badhane Ke Tips Peeth Me Dard Ka Ilaj Hips Bada Karne Ki Medicine

Badhazmi Ka ilaj in Hindi Khatti Dakar and Loose Motion Acidity Treatment in Hindi Khatti Dakar Ka Gharelu ilaj