Balon Ki Khushki Door Karne Kay Mukhtalif Totkay (Dandruff Cure)

Dandruff Khatam Karnay K Liye Mukhtalif Totkay Medicine:

Sir pe glasreen ki halki halki malish karain massage karain aur 1 ghantay baad sir dho lain.
chnd (few) hi din mai khushki door ho jayegi.
andey ki zardi (egg yolk) mai sarso ka tail (mustard oil) dalo aur thora sa lemon juice bi mix kar lo. aur phir ye mixture sir ki jild (skin) mein lagao, phir 1 ghantay baad naha lain ya sir dho lain. haftay (week) mai 2 baar kar lia karain.


sir mai tail (oil) lagatay rehna chahiye, waisay bhi oil lagana sunnat hai. baghair oil lagaey daily shampoo karnay say bhi dandruff hote hai.
Anda (Egg), Dahi (yogurt) aur sarso ka tail (mustard oil) inko mix kar lain aur sir ki jild (skin) mai lagain, aur sir pe koi rumal (handkerchief) bandh lain, 1 ghantay baad sir dho lain.
Anda (Egg) , Dahi (yogurt) aur cheeni (sugar) , teeno ko mix kar k sir ki jild mai lagain, 15 say 20 minute k baad sir dho lain.


Balon Ki Khushki Ka Ilaj In Urdu


Dahi (yogurt) mai oil mila kar sir mai laganay say bi dandruff khatam hoti hai.
pure coconut oil ko thora sa garam kar lain aur ruee (cotton wool) ki madad say sir ki jild mai lagain... raat ko lagain aur laga rehnay dain ... suba lemon juice sir pe laga lain aur 1 ghantay baad sir dho lain ya naha lain... haftay (week) mai 2 baar kar lia karain.
apply henna (mehndi) once a week.
Lemon juice ko paani (water) main mila kar is say sir dho lain, chand hi dino mai (after few days) baal chamakdar aur khushki say paak ho jayenge.
sir ko pearl soap ya besan (gram flour) say dhoen. dettol k pani say sir dhona bi mufeed hai.


Sir main Salicylic Acid ko Spirit mein ghol (mix) kar 10% mixture lagana bohat mufeed hai. Betnovate Keralin tube balon ko hata kar skin pe laganay say bi bohat faida hota hai.
Achi ghiza (food) ka istamal karain, gosht (meat), fresh fruit, dudh (milk), dahi (yogurt) ka istamal ziada karain. thori Exercise bi kiya karain aur morning walk ko mamool banaen. Agar medicine leni hai to Vitamin A ka aik capsule rozana kha lia karain.
Soak 2 tbsp fenugreek seeds (methi dana) in water overnight. In the morning grind into a fine paste. Apply all over scalp and leave for ½ an hour. After half an hour wash with any mild shampoo.
Boil a handful of neem leaves in 4 tea-cups of water. Let it cool and after cooling and filtering, use for rinsing hair.

Comments

Popular posts from this blog

Aankhon Ka Phadakna Kya Hai Eye Twitching Causes and Facts Aankhon Ka Fadakna Haqeeqat aur Ghalat Fehmiyan

Hips Badhane Ki Cream Hips Mote Kaise Hote Hain Hips Badhane Ke Tips Peeth Me Dard Ka Ilaj Hips Bada Karne Ki Medicine

Badhazmi Ka ilaj in Hindi Khatti Dakar and Loose Motion Acidity Treatment in Hindi Khatti Dakar Ka Gharelu ilaj