Banjhpan Ki Alamat in Urdu Baanjhpan Sirf Aurton Mein Hee Nahi Mardon Mein Bhi Hota Hai
Kya Banjhpan Mardon Mein Bhi Hota Hai?
Sawal:
Hakeem sab meri shadi ko barah saal ka arsa guzar chuka hai pehle 6 saal to hum yehi samjhte rahe abhi qudrat ki taraf say dar hai kuny kay opar wale ke ghar dair hai andhair nahi phir kuch logon ke kehne par apni biwi ka checkup karwa ya iss kay tamam kay tamam test theak thy phir main ne apna checkup karwaya toh ye bat mere liye bohat hairan kar dene wali thi kay main baap ban'nay kay aehal nahi hoon, khair aurton ka banjhpan hona to suna tha ab main khud aisa mard tha jo baanjh pan ka shikaar ho chuka tha guzashta 4 saalon sey musalsal hakimon doctors aur peeron faqeeron kay pass jaana par raha hai lekin abhi tak kahin sey bhi mujhe shifa naseeb nahi hui.
Jawab:
Banjhpan ki beemari aurton mein kam or mardon mein zyada hoti hai hairat hai kay aap ko 4 saal kay ilaj sey bhi koi farq nahi para peeron faqeeron kay pass jana kam aqli hai buzurgon ke pass sirf dua key liye to jaa sakte hain roohani ilaj karna ho to jana chahiye lekin jismani ilaj karna Sunnat e Nabwi (S.A.W.W) hai.
Comments
Post a Comment