Chicken Pox Me Kya Khana Chahiye Chicken Pox Kya Hota Hai In Hindi Chicken Pox How Do I Know If I Had?
Chicken Pox Information In Hindi
Chicken Pox Details In Urdu |
Chicken Pox Information In Hindi
|
Chicken Pox Causes In Urdu
Chicken pox ko varicella bhi kaha jata hai ye ek bohat jald dusron mein muntaqil hone wali bemari hai jo ke varicella zoster virus (VZV) ki wajah se hoti hai. Chickenpox insan ke jism par mukhtalif qism ke Skin Rashes yani chote chote Dagh Dhabe padna shuru ho jate hain. Ye nishanat Kharish ki wajah wale bhi hote hain shuru mein ye chote chote dagh chest yani chati back pichy ki taraf aur face chehre par padte hain. Chickenpox k symptoms mein bukhar, thaka hua mehsoos karna aur sir ki dard shamil hai. Ye nishaniyan 5 se 10 din tak rehti hain. Ye bimari bachon mein badon ki nisbat zyada shadeed hoti hai. Chickenpox ke symptoms jism mein virus phailne ke 10 se 21 din ke baad zahir hote hain.
Chickenpox During Pregnancy In Hindi
Pregnancy ke doran VZV infection ke sath pehle 6 months mein fetus ko khatra zyada hota hai. Pregnant women ko 6 maah ke baad bohat shadeed asrat zahir ho sakte hain. Aisi khawateen jo chickenpox ko defend kar sakti hain wo iss bimari se infected nahi hotin aur na he unhen apne liye ya phir apne bache ke liye pregnancy ke doran pareshan hone ki zaroorat hai.
Chickenpox Treatment and Care
Chickenpox ke asraat ko kam karne ke liye logon ko chahiye ke wo ghar mein rahen taa k unki wajah se ye bimari kisi or ko muntaqil na ho jaye aur na mazeed phail sake. Chickenpox ke patient ko nails cutting karni chahiye aur gloves yani hathon par dastanay pehn lene chaiye aisa karne se aap dusri infections se bach sakte hain.
Chicken Pox Me
Kya Khaye
Chickenpox mein fruits khane chahiye aisy phal jo aap ke hazmy ko drust banaye aur jin mein vitamin C paya jata ho. Agar patient ko mouth mein blisters hoon to phir fruits se bachna chahiye kyunki ye aapko takleef dain ge.
Chicken Pox Me Kya Nahi Khana Chahiye
Fatty foods yani aisi khurak jaise chips, pizza, burger anda aur jiss mein fat zyada ho mat khayen.
Comments
Post a Comment