Sugar Ke Liye Parhez Sugar Control Karne Ke Nuskhe Sugar Ko Control Kaise Kare In Hindi
Blood Sugar Control Tips In Urdu Sugar Level
Control Tips In Hindi
How to Control Diabetes Health Tips |
Sugar Ko Kaise Control Kiya Jaye Sugar
Control Food In Urdu
Sugar ke mareez apni daily routine ko badal kar asani se sugar control kar sakte hain. Ziabetus yani sugar aisi bimari hai jo zindagi mein aik bar ho jaye to phir kabhi nahin jati jab ke iss ke mareez ko sari zindagi ihtiyat aur dawaon par guzara karna padta hai. Khudnakhawasta agar aap bhi sugar yani (Type 2 Diabetes ) ke mareez hai aur is par behtar control rakhna chahte hain to in tips par amal karen.
Caffeine:-
Caffeine energy drink ho, chaye ho, coffee ho, black coffee ho, baghair doodh ki chaye ho ya phir sabz chaye he kyun na ho in sab mein caffeine majood hoti hai aur inhen istemal karne ke baad khoon mein sugar ka level badh jata hai. Sugar ke marizon ko caffeine istemal karte hue ihtiyat karni chahiye.
Sugar Free Products:-
Aksar companies apna karobar chalane ke liye sugar free sweets aur sugar free drinks ke naam se apni products market mein sale karti hain. Sugar free sweets ya sugar free cold drinks mein sucrose shamil ki jati hai jo ke sugar ke he ek kisam hai jo ke aap ke blood mein sugar ka level high kar deti hai.
Kaam Ka Dabao:-
Agar aap apne kaam ya mulazmat se na khush hain to iska nafsiyati dabao ka asar aap ki sehat par bhi padta hai. Asaabi dabao ya tanau ki halat mein aap ka jism aise hormones kharij karta hai jo khoon mein sugar level ko high kar dete hain. Aisa type 2 ke sugar walay patients ke sath aksar hota hai. Tanau ki halat mein lamby lamby saans le kar khud ko normal karne ki koshish karen aur agar mumkin ho to asaabi tanau ki wajah bannne wali baaton, adaton aur mahool ko tabdeel he kar dain.
Comments
Post a Comment