Face Pimples Solution In Hindi Language Chehre Ke Daag Or Pimples In Urdu Chehre Ke Dano Ko Khatam Karna Home Remedies
Pimples On Face Treatment At Home In Hindi Language
Face Ke Pimples Kaise Hataye In Hindi |
Chehre Ke Dane Hatane Ke Upay In Hindi |
Meri jild chikni hai main kuch laga nahin sakti bar bar danay nikal aate hain jiski wajah se bahut pareshani ho gai hoon. Meri chikni or oily skin kaise theek ho sakti hai?
Jawab :-
Danay hamesha chikni jild par nikalte hain chehra saaf rahe to danay ghaib ho jate hain aap ek kaam karen chehre ki safai ke liye pehle khoon ko saaf karen aur khoon ki safai karne ke liye meri post Khoon Ko Saaf Karne Ka Tarika read karen aur iske baad chehra par parne waly daagh dhabe khatam karne ke liye meri post Chehre Ke Pimples Hatane Ke Desi Tips bhi read karen. Face ke danay khatam karne ka ek tarika ye bhi hai k aap bazar se besan manga kar rakh lain aur 1 ya 2 chamach besan kisi chotay pyale mein daal dain aur chehre par lagane ke liye bathroom mein rakh dain ya phir jab bhi chehre ko dhone lage to sabun bilkul bhi na lagayen.
Chehre Se Pimples Hatane Ke Upaye Pimples Ke Liye Best Face Pack
Sirf besan ko hatheli par rakhiye aur 3 qatry lemon ka ras daliye ab thora sa pani add karen mixture garha ho jaye to achi tarha mix karke issay apne chehre par laga lijiye aur ahista ahista face par massage ki tarha maliye jab sukh jaye to utar kar mun ko wash kar lain. Apka chehra saaf ho jaye ga aur Face Ko Clean Karne Ki Tips bhi read karen. Besan mein ye khasiyat hai ke wo jild ki sari chiknahat ko door kar deta hai. Aap ne dekha hoga ke machli ki chiknai bohat lekin jab aap isay besan laga kar dhote hain to wo sari chiknahat ko door kar deta hai. Besan chiknai ko khatam kar deta hai din mein jab bhi mun ko dhoye aap besan se wash karen iss mein lemon na dalein. Lemon din mein sirf 1 bar dalna hai mun ko dhone ke baad dry karke aap face par arq e gulab bhi use kar sakte hain.
Facial Skin Care Beauty Tips Face Ki Care Kaise Kare In Urdu
Iske ilawa aap hamdard matab ki Saafi zaroor piya karen Saafi ka faida ye hota hai ke ye aap ke khoon ko saaf karti hai aur sachi baat to ye hai ke husn wahi hai jo andar se nikhar kar aaye. Aap koshish karne ke zyada se zyada pani piyen aur chehre ki safai ka khaas khayal bhi rakhen chehre ko saaf karne ke liye meri post Chehre Kay Daagh Dhaby Door Karne Ka Tarika bhi parhen in Sha Allah sab kuch thek ho jaye ga.
Comments
Post a Comment