Adrak Ka Tail Banane Ka Tarika Joron Ke Dard Ka Desi Ilaj In Urdu Adrak Ke Benefits In Hindi
Arthritis Pain Relief Home Remedies Joron Kay Dard Ka Ilaj
Arthritis Pain Treatment at Home in Hindi/Urdu |
Adrak Ki Chaye Ke Faide for Arthritis Pain
Tamam din kaam karne kay baad sham ko aisa lagta hai jaise joron mein halka halka dard ho raha ho kabhi kabhi to iss dard mein itni shiddat aa jati hai kay chala bhi nahi jata. Arthritis pain ki shikayat bahut log karte hain joron kay dard kay liye gharelu totka istemal kiya jaye to dard mein shiddat kam ho sakti hai. Joron Kay Dard Kay Liye adrak ki chaye bohat achi hai joron kay dard ko theek karny kay liye adrak ka 1 chota tukra cheel kar aap isay koot lain aur issay aap bareek bhi kaat kar kuchal sakti hain. Ab issay aik piyali mein ubaal kar chaiye ki tarha ubaal lain aur sham kay waqt pee lain zaiqa banane kay liye aap iss mein thora shehad bhi add kar sakte hain.
Isky ilawa khali adrak ka qehwa bhi piya ja sakta hai aap isy din mein bhi istemal kar sakte hain. Isi tarha aap adrak le kar dho kar isay kuchal kar iska ras nikal lain. Adrak ka ras naap lain jitna ras ho itna he pee Roghan Kanjad lay kar dono ko mila kar aag par pakain jab sirf tail reh jaye to chulha band kar dain. Adrak ka tail tayar hai raat ko sotay waqt aap kamar par, joron par halka sa garam karke ahista ahista maliye sardi kay mausam mein bohat faida deta hai. Aur aap kay dard mein kami hogi mamoli dard to chand roz adrak ka tail lagane se door ho jaye ga.
Comments
Post a Comment