Motapa Kam Karne Ka Gharelu Tarika In Hindi Weight Loss Kaise Hota Hai
Weight Loss Tips In Hindi In One Week
Weight Loss Treatment at Home in Hindi/Urdu |
Wazan Ghatane Ke Gharelu Nuskhe
Meri umar 20 saal hai magar main bohat moti ho gai hoti ja rahi hoon sab log mujhe kehty hain apna wazan kam karo. Aap sey kya chupana main bhook par bilkul qabu nahi pa sakti har waqt kuch na kuch khati rehti hoon. Aap muje asaan sa ilaj bata dain. Jiss sey main khati bhi rahoon aur dubli patli bhi ho jaon aur ye bhi bata dain kay main kaise bhook par qabu pa sakti hoon. Bhook par qabu pany kay tarike hain lekin mujhe lagta hai aap rozy bhi nahin rakh saktin. Rozy mein insaan apni bhook par qabu pa leta hai band gobhi to apny zaror dekhi hogi jisy english language mein cabbage kehty hain ab kya karen bachy bhi english schools mein parthy hain isliye meri koshish hoti hai kay sawal karne walay ko usi ki zuban mein jawab diya jaye.
Obesity Treatment In Home In Hindi
Cabbage ka aap ko pata to hoga Magar aap ko is kay faiday maloom nahin isay khanay sey wazan nahin barhta taqreeban 100 gram band gobhi mein 27 calories payi jati hain. Ye jald hazam bhi ho jati aur isky khanay sey pait bhi bhar jata hai. Ap aisy kiya karen subah 1 piyali garam pani mein 1 chamach shehad dalen aur aik lemon ka ras ye bohat mazay ka hota hai isy ghoont ghoont karke pi lijiye. 9 ya 10 bajay ek medium size ki band gobhi ko achi tarha dho kar isy salad ki tarha kaat kar aik pyale mein rakh dijiye.
Aap isy tamam din mein jab bhi aap ko bhook mehsoos ho kha sakti hain thori si band gobhi plate mein nikal kar kha lain is sey apka wazan bhi nahi barhy ga aur apka pait bhi bhar jayega. Bhook par qabu pany ka ye aik acha totka hai isky ilawa motapa par qabu pany kay liye aap jo bhi khana khaye wo sada hona chaiye sada chapati aur salan par sey chiknai hata kar khayen. Tali hui chezain chiknai, cheeni aur chawal sey perhaiz karen.
Ghar kay kaamon mein bharpoor hissa lijiye larkion ney maa baap kay ghar aur apne susral mein ja kar bhi ghar kay kaam he karne hote hain isliye koshish karen kay apni mama kay sath kaam mein unka hath batayen. Subah aur shaam ko ek bar zaror paidal walk karen walk karne kay liye zarori nahi aap ghar sey bahir jayen aap ghar mein bhi walk kar sakti hain aur stairs par upar nechy charh kar bhi walk ki ja sakti hai is tarah ap ka wazan kam ho jayega.
Comments
Post a Comment