Hair Problems And Solutions In Urdu Balon Ki Samsya Balo Ke Masail In Urdu

Hair Problem Solution Tips In Hindi Hair Ki Care Kaise Kare?


Common Problems of Hair and Their Solutions

Stop Hair Fall Naturally Home Remedies In Hindi





Hair khawateen aur hazrat kay liye bohat ahmiyat rakhty hain baal humare chehre ki khubsurti mein chaar chand laga dete hain. Agar aap ke sir ke baal gir rahy aur aap ganjy ho rahe hain to Ganjapna Ka ilaj karen. Agar aap kay Sir ke baal girte jayen to phir ap ko kya karna chahiye? Baal ghanay aur siyah bhi hoon lekin phir bhi girte rahen to bohat pareshani wali baat hoti hai. Baalon mein kuch larkiyon kay baal curly hote hain jinhen wo dusri girls kay jaise simple aur straight karna chahti hain apne baalon ko straight karna chahti hain to aapne balon ko Straight Karne Karne Ka Tarika bhi read kar sakti hain. Baalon mein sab sey bara masla bejan aur rukhy baalon ka bhi hai agar aap apne baalon ko silky aur shiny karna chahte hain to aap meri post Hair Silky Karne Ka Tarika parh sakte hain. Agar aapke sir ke baal bury rang ke hoon aur aap inhen kala karna chahte hain to aap Baalon Ko Kala Karne Ka Tarika parh sakte hain. Kuch log aisy bhi hote hain jinky baal bohat tottay rehty hain aur jab wo nahate hain to unky bohat zyada baal girte hain. Baalon ka chota hona bhi larkion ke liye aham masla hai apne baalon ko natural tarike sey lamba karne kay liye visit karen Hair Lamba Karne Ka Qudrati Tarika
Baalon ko le kar bohat sey masail saamne aate rehty hain kuch logon kay baalon mein khushki hoti hai aur sir mein kharish rehti hai aur baaz auqat aisa bhi hota hai kay jo log sir mein khujaty rehty hain unky sir mein zakham ban jata hai is liye baalon ki khushki bohat eham problem hai aap Baalon Ki Khushki Door Karne Ki Tips read karen.

Beetroot Ki Sabzi Recipe In Hindi




Chukandar ka tail balon kay liye bohat acha hota hai ye sir ki khushki aur sikri ko door karta hai. Jin logon kay baal ghanay nahi hain wo apne baalon ko ghana banane kay liye mere bataye hue desi totkay par amal karen jo aap iss post par ja kar parh sakte hain Baalon Ko Ghana Kaise Karen? Chukandar bhi aap kay baalon ko ghana aur mazboot banata hai ye mosam e sarma ki sabzi hai apko chahiye kay aap hafty mein 2 bar chukandar zaror paka kar khayen. Sir kay baalon ko girna rokne kay liye hair fall natural recipe use karen jis mein aap chukandar ko paka kar kha sakte hain.


3 baray chukandar lain inko chilkon samait goal qatlay kaat lain aur aik muthi bhar mehndi kay pattay lain aik bara chamcha kalonji aur ai bara chamcha methi dana aik kilo tail sarson ka garam kar lain. Iss mein 1 ya 2 qatlay chukandar kay daal lain jab kalay ho jaye to utar kar dusry daal dain. Akhir mein chukandar kay pattay aur mehndi kay pttay kalonji aur methi dana daal dain. Ab chulha band kar dain ye bhi jal jayenge ab thanda hone par chaan kar rakh lain.



Sir ki dandruff door karne kay liye aloe vera kay 2 baray patay le kar iska guda nikal kar mesh kar lain. Ab iss mein bheega hua methi dana aik chuthai chamcha chai wala haldi milaye aur balon ki jaron mein achi tarah laga kar adhy ya pony ghante kay liye chor dijiye. Phir sir ko dho kar halke num baalon mein 5 qatray tail aur 3 qatry lemon ka ras mila kar ungli ki poron sey balon ki jaron mein lagar kar brush karen. Hafte mein 2 bar chukandar ka tail istemal karen. Aloe Vera balon ki khushki aur zakham ko theek karene mein madad karega aur methi dana chiknahat sey khushki khatam kar dega.

Comments

Popular posts from this blog

Aankhon Ka Phadakna Kya Hai Eye Twitching Causes and Facts Aankhon Ka Fadakna Haqeeqat aur Ghalat Fehmiyan

Hips Badhane Ki Cream Hips Mote Kaise Hote Hain Hips Badhane Ke Tips Peeth Me Dard Ka Ilaj Hips Bada Karne Ki Medicine

Badhazmi Ka ilaj in Hindi Khatti Dakar and Loose Motion Acidity Treatment in Hindi Khatti Dakar Ka Gharelu ilaj