Allergy Kyon Hoti Hai Pollen Allergy Symptoms In Urdu Skin Allergy Reasons And Treatment Allergy Kya Hai In Hindi

Allergy Khatam Karne Ka Totka Allergy Ke Gharelu Nuskhe In Hindi


allergy ki wajah
Allergy Kya Hai aur Ye Kesy Hoti Hai? Chehre Ki Allergy Kaise Jayegi

Allergy Kya Cheez Hai?


Makhsoos mosam mein jism ke kisi bhi hissay par kharish hona, dagh dhaby, phoray phinisyan nikal ana, naak se pani behna ya cheenkain aana, aankhen surkh ho jana aur sir mein dard rehna aur dum ghutna waghera ye tamam alamatin insan kay badan mein kisi na kisi beroni amal ke khilaf radd e amal ko zahir kar rahi hoti hain. Agar insan ki quwat e mudafiat kam ho rahi hai beroni amal taiz hone laga hai to wo mosami bukhar aur shadeed noiyat ki allergy mein mubtala ho sakta hai. Jis mein dama ya sans ki takleef shamil hai. Is saray amal ya radd e amal ka makhsoos doraniya ya cycle hota hai jo waqt ke sath sath mukamal ho jata hai.
Qudrat ne jumla makhlooqat k andar apne difa ka mukamal nizam rakha hai. Kainat ki in makhlooqat mein kimiyai aur hayatiyati dono jinsain shamil hain. Insan par jab beruni awamal makhlooqat jo is qadar bareek magar latadad aur taqatwar hoti hai jis ko insan apni aankh say nahi dekh pata hamla awar hoti hain to insan kay andar difa ka nizam mutharak ho jata hai. Tahum jis insan kay andar mudafiyat ki quwwat kam hoti hai wo ahista ahista nazar na ane waly dushmano k agay aik waqt tak ke liye haar jata hai us ko bukhar hota hai aur chirchira ho jata hai. Iska zehan bhi khud iske khilaf radd e amal shuru kar deta hai.

Allergy Ka Ilaj Kya Hai Pollen Allergy Ki Alamat

Is sari pecheda surat e haal se nimatne ke liye insaan riwaiti amal mein layeha amal tayar karta hai aur wo mualij ke pass jata hai aur adwiyat ka istemal shuru kar deta hai. Tahum jesy jesy medical sciences aur tehqeeqat barh rahi hain taraqi yafta mumalik mein bilkhasoos insano ke liye peshgi tadabeer aur apni zaat ke difa ke liye bhi scientific methods ijaad hone lage hain. Scienci andaz mein zinda rehne waly samaj mualijon aur adviyat par inhsar karne ki bajaye apne infradi nizam ko mazboot karte hain. Jis ki ibteda allergy ke tabah kun hamle se bohat pehle karni hoti hai. Logon ko chand baras ki takleef ya allergy ke hamlon k baad ye maloom ho jata hai kay jab bhi bahar, khazan ya mosmiyati tabdeeli ghair mamoli noyiat ki hogi to wo bimar par jayenge. Is ziman mein wo synsdano ke tajveez karda tarika kar ikhtiyar karke apne difa ke nizam ko mazboot karte hain. Allergy ke mareez pichle saalon ke talkh tajurbe ke muqable mein ayenda ane walay saal ya muddat ke liye allergy ke hamlon se nimatne ka behtar tadarak karne mein kamyab ho jate hain.

Allergy Ki Bimari Ke Baare Mein Bataye


England ke maroof allergy experts ka kehna hai kay allergy ka asan hal to ye hai kay jab aap apne dushman mahol awamal se shikast kha kar nidhal hoon aap ke asaab jawab dene lage hoon aur aap bistar par laitne waly hoon to aap doctors ke pass jane ko tarjeeh dete hain. Inhe bhaari fee ada karte hain phir adwiyat khate hain jinke bahar haal koi na koi side effects hote hain lekin agar aap apne jismani nizam se agah hain aap ko pichle saalon ke talkh tajurbat bhi yaad hain to aap yaqeenan waqt se pehle apne difa ka bandobast kar lain kyon ki ehtiyat ilaj se bohat zyada eham hai ye behtar bhi hai aur faida mand bhi sabit hoti hai.

British scientists ka kehna hai kay jahan par insan allergy parwar anasar mein ghira rehta hai wahin qudrat ne isko apne difa k liye allergy mukhalif qudrati ashiya se bhi nawaza hai. Amlan beroni taur par pollen allergy, gharelu gard o ghubar, paltu janwaro ke jaraseem aur degar bareek tareen dushman aap ki quwat e mudafiat ko khatam kar dete hain. Jiski wajah say aap allergy ka shikar ho jate hain in se peshgi bachao ke liye sab say zyada qabil aitmaad tarika qudrat ki in jari botiyon mein ka istemal hai makhsoos vitamin ke capsules aur tail waghera ehtiyati tadabeer hain jo har samaj ilaqay aur mahol mein majood hoti hain.
Is qudrati bandobast ko Nature Antihistamines kehte hain jis mein Buchwa Booti Nettle sir e fehrist hai. Bichuwa booti aik pauda hai jis ke pattay nokeely aur khardar hote hain. Pakistan mein in podon ko ugana nehayat asan hai magar inki kasht ka riwaj nahi hai. Taham Bharat, China, aur Europe mein is tarah ke adviyati podon ki kasht aur karobar ke rujhanat barh rahe hain. Nettle ya bichuwa boti mein aik aisa mada hota hai jo allergy mukhalif hai. Maghrib mein iske khushk ya baraf mein mehfooz kiye gaye patton ke capsules khurak farokht karne walay stores mein dastyab hote hain. Agar allergy k mareez allergy k hamly se pehle 1 din mein 500 mg ka aik capsule 3 martaba istemal karen to inko allergy ka hamla is tarah nahin hoga jesa inko pichle saal hua tha.

Hamare hamsaya mulk China aur Japan mein aik darakht hota hai jiske pattay pankhiya ki manind hote hain. Iske phoolon ka rang zard hota hai is darakht ko Ginkgo kehte hain aur iske phoolon ko Ginkgo Biloba kehte hain. Ye amuman  dimagh ya maghaz ke liye istemal kiya jata hai jis say insan ki yadasht mein izafa hota hai. Taham Bartanvi sciencedanon ne tehqeeq k baad ye sabit kiya hai kay Ginkgo kay andar aik aisa mada hota hai jis ko Ginkgolides kehte hain jo khoon mein shamil ho kar allergy paida karne walay Chemical ko faal nahin hone deta iske istemal se platelets k andar gardish ka amal ruk jata hai. Agar din mein 2 martaba 240 milligram wala capsule kha liya jaye to insan allergy k hamle se mehfooz rehta hai. Ginkgo Biloba kay 240 milligram walay capsules abhi aap neeche diye gaye link ko visit karke online buy karke apne ghar par mangwa sakte hain.

Ginkgo Biloba Standardized Extract 240 mg Per Caps 200 Capsules




Sabziyon phalon maslan sangtry ki qisam ke tamam phal, angoor, parsley se hasil hone wala chemical hai.

quercetin allergy research
Quercetin Allergy Research

Quercetin angoor ka wo mada hai jis sey is ka rang jamni ho jata hai. Is ko sabz chaye mein milaya jaye to is say allergy mukhalif mada peda hona shuru ho jata hai Europe mein iske capsule har khurak ke store par majod hote hain. Agar aik din mein 500 m.g. Quercetin capsule 2 martba le liye jayen to allergy ke hamle se ba asani bacha ja sakta hai. Quercetin kay 500 milligram walay capsule aap abhi neeche diye gaye link par visit karke online buy karke apne ghar par mangwa sakte hain.

Quercetin 500mg Mega 200 Capsules Supplement



Taham ye baat nehayat aham hai kay allergy k jo mareez bichua booti istemal kar rahe hain to Quercetin ke capsule istemal na kare kyon ki in me pehle he ye ansar majood hota hai.
Makhsoos machliyon ki charbi se liye gaye tail ka istemal Omega3 jis mein sozish ya sujan peda karne walay amal ko rok deta hai jabkay allergy k hamly k doran jism mein sozish aur sujan ka amal taiz ho jata hai. Syman machli, sarden machliyan (heraing se mushaba choti samundri machliyan) aur taza tona machliyan jo Pakistan k samandar mein bhi bakasrat payi jati hain unke charbi wale tail ya acid k istemal se allergy k hamle se bacha ja sakta hai. Agar machli k tail wale capsule istemal karne ko tarjeeh dete hain to phir aap ko 1 din mein 1 martaba 1000 milligram ka capsule lena hoga jis mein DHA/EPA shamil hota hai jis ki wajah say insani jism k andar quwat e mudafiat barhane walay anasar bakasrat majood hote hain. Machli kay walay capsules abhi aap nechy diye gaye link ko visit karke online buy karke apne ghar par mangwa sakte hain.



Patsan ya alsi ke beej FlaxSeed Oil ke tail mein bhi bohat zyada Omega 3 hota hai. Din mein 1 martaba chaye ke chamach ke barabar patsan ke beej se nikala gaya tail le liya jaye to allergy ke hamle se basani bacha ja sakta hai. Yaad rahe ke patsun ke beej ke tail ko thandi halat mein salad ke patton ya 1 glass juice mein mila kar bhi piya ja sakta hai kyon ki is ko garam karne se iski khasiat mein kami aa jati hai. Flaxseed Oil ya Linseed Oil aap abhi aap nechy diye gaye link ko visit karke online buy karke apne ghar par mangwa sakte hain.


Allergy Ke Hamla Ke Baad Aankhon Ki Allergy Ke Baare Mein Bataye


Jab aap aap par allergy ka hamla ho chuka ho aap dawaiyan lene par majboor hoon phir bhi afaqa na ho raha ho to tab aap Physiotherapy se allergy ki shiddat mein kami la sakte hain. Surkh kharishdar aur suji aankhon mein bechaini ki shiddat kam karne ke liye jaraseem se paak saaf suthra naram kapra thandy pani mein bhigo kar apni aankhon par jis qadar zyada aap chahen rakhen is say aapki ankhon ke andar khoon ki gardish ka amal phir se shuru hoga.

Naak Ki Allergy Ke Baare Mein Bataye


Khoon k andar kamzor cells charge honge aur aap ki mudafiyat ki quwwat ahista ahista barhegi. Naak k namkeen pani waly spray aik arsa se band naak kholne ke liye istemal ho rahe hain is say aap k naak k andar aur ird gird nami ka tanasb barh jata hai. Khoon ki gardish mein asani hoti hai lekin is baat ka khas khayal rakhen k baaz namkeen spray ki umar barhane ke liye jo chemicals shamil kiye jate hain wo bazat e khud allergy k amal ko taiz kar dete hain jis se aap k naak k andar chubhan hone lagti hai. Isliye behtar hai aap khud he ghar mein naak ke namkeen spray tayar karen.

Namkeen Spray Tayar Karne Ka Asan Tarika


Namkeen spray ghar par tayar karne ka asan tarika ye hai kay adhe chaye ke chamach mein namak daal kar 250 milligram garam pani mein dalein. Isko milayen, senk k upar jhuk jayen nihayat ahista ahista namkeen spray ko apne naak mein dalein aisay jesy wazu karte naak mein pani dalte hain. Agar aap namkeen spray ghar par tayar nahin kar sakte to aap abhi neeche diye gaye link par click karke ghar baithe online order karke mangwa sakte hain.

Major Pharmaceuticals Deep Sea Generic for Ocean Nasal Moisturizing Spray



Badan Mein Hararat Ka Barhna Gale Ki Allergy Ke Baare Mein Bataye


Amuman badalte mausam mein un logon ki jinki quwwat e mudafiyat kam ho jism mein hasasiyat barh chuki ho unke badan mein barik barik zarron jin mein kuch kimiyai aur hayati yati hote hain k nazla zukam aur dum ghutne ki alamaat shuru ho jati hain. Galay mein balgham peda hone lagta hai. Maday (Stomach) k andar majood pani ki satah neeche ki bajaye upar barh jati hai jab pani galay tak aan pohnchy to halki halki khansi aane lagti hai. Insan tawatar ke sath baat nahin kar sakta iska badan toot ta hai aisay lagta hai jaise isko bukhar ho gaya hai kyon ki jis mein hararat barh jati hai. Agar insan khurak, zarron ke gherao se bachao aur warzish ka bandobast karta hai to wo is se mehfooz ho jata hai.
allergy ka gharelu treatment
Allergy Ka Desi ilaj Bataye

Jab bhi aap khud ko Hay Fever ka shikar hota dekhen to phir aap aandhi, toofan, maholiyati aloodgi se kam az kam 3 ghante tak door rahen. Jab bhi toofan ate hain to inse nami ka tanasab barh jata hai jis se pollen phool ban jate hain. In mein afzaish ka amal shuru ho jata hai. Phir ye phatt jate hain. Phir inse aik aisa mada kharij hota hai jiski wajah se hasasiyat rakhne walay insan mutasir hote hain. Is doran aap bahar nikle to aisy glasses ya ainak ko istemal karen jo aap ki aankhon ko puri tarah dhaanp lain. Aap kuch waqt tak naak aur mun ko bhi dhanp sakte hain.

Chehre Ki Allergy Ke Baare Mein Bataye


Agar aisa karna aap ko acha nahi lagta to phir aap nayi allergy peroleem jelly ya vaccine naak k andar laga kar niklen. Aap ne na hawa k taiz dabao se door rehna hai kyon ki jab bhi taiz hawa ya pankhy ki ho ya chalti gari ki khuli khidki se aane wali aap k jism se takrati hai to jism ka darja e hararat kam hone lagta hai. Jab bhi aap raat ko sone lagy to apne baalon, chehre, aur baazo dho kar soyen kyon ki aap nahin jante kay aap k baalon, chehre aur baazo par arbon pollen, zardany aur zarray rehaish pazeer hain aap jesy he soyenge ye hamla awar honge aur aap ka sirhana jis par sir rakh kar aap ne sona hai wo bhi bilkul saaf suthra hona chahiye.

Allergy Kyon Hoti Hai? Skin Allergy Ki Jankari


Allergy kyon hoti hai iska jawab talash karna zaroori hai. Jis mahol mein aap bimar ya allergy ka shikar hain ussi mahol mein lakhon log mamol e zindagi guzar rahe hain. Isliye allergy koi tawun ya haizay ki manind wabai marz nahi jo har aik ko lahaq ho balke ye us par hamla awar hogi jiski quwat e mudafiat kam hai. Jo zarraat aap ko tang kar rahe hain wahi zindagi ki alamat hain magar unhone apko nidhaal kar diya halanky dusron ke liye ye be zarar hain. Ye zehan mein rakhiye ga aap ki quwat e mudafiyat ya mudafat ka nizam yak lakht kamzor nahi hua is mein lambi muddat mulawis hai. Ye bhi zehan mein rakhiye kay aap ka zehan hathiyar dalne par amada ho chuka hai wo beroni hamla awar se aap ko bachane ka bandobast kar raha hai aur na he apko warning de raha hai. Lekin aap ke andar hasasiyat peda ho chuki hai jiske tehat aap khud ko lachar aur bimar samjhte hain.

Hairat angaiz baat ye hai kay qadeem Sindh Hind ki tehzeebon mein saans ki bimari ko koi bimari nahin samjha jata tha kyon ki Yoga aur Istaghrak? ?? insanon ke phephron ko is qadar mazboot kar dete thy wo ba asani saans ke zariye andar jane walay pollen ko mukamal jazb kar lete thy tan asani, ghalat khurak nidhaal hone ke khayalat irdgird se ghafil hone ke rujhanat aap ki quwat mudafiat ko kamzor karne mein aham kirdar ada karte hain. Isliye agar aap jitni tawaja aur raqam doctoron aur dawaiyon par karte hain iske baghair he aap badalte mosam ya saal bhar ke doran apne andar ke nizam ko taqatwar karen.

Doctor Ke Pass Kab Jana Chahiye?


Allergy k mamoli hamla ka tadarak aap khud kar sakte hain maghrib mein apne shehriyon ko bachao ki tadabeer muft faraham ki jati hain. Inhen halki poteincy wali adwiyat ke istemal ka mashwara bhi diya jata hai ye sab kuch mareez khud karte hain. Tahaum jab kisi mareez ki zuban, mun aur gardan sooj jaye isko saans ki takleef ho iske galay se seeti numa awaz nikle to phir aap allergy k shadeed dabao aur hamla ka shikar hain jo khatarnak ho sakta hai tab aap ko doctor ke pass jana parega.

Lekin ye yaad rakhen kay dawaion ka bakasrat istemal, quwwat e iradi ka fuqdan, ghalat khurak ka istemal aur zindagi se ajiz aa jane ke ehsasat aap ko mazeed kamzor kar dete hain. Aap mamuli chote zarron se larny ka qawwi irada tark na karen apka jism khud ba khud andar he andar se aik aisi taqat paida karega jo ahista ahista is marz par qabu pane ke qabil bana dega. Jab bhi aap khud ko bebas, lachar, aur majboor samjhen to aap ird gird lakhon logon par nazar dalein. Ghor karen wo to aisay nidhaal nahin jesy aap ho chuke hain akhir wo bhi aap he ki tarah insaan hain. Wo bhi isi mahol mein sehatmand reh rahe hain jis mein aap bimar par gaye hain.


Chehre Par Allergy Hone Ki Dawa Allergy Khatam Hone Ki Dawa Allergy Thik Hone Ki Dawa Allergy Ki Dawa Hindi Mai Skin Allergy Ki Homeopathic Dawa Skin Ki Allergy Ka Ilaj Allergy Ki Dawa Ki Jankari Chahiye

Allergy ke ilaj kay liye aap tablets istemal kar sakte hain ye homeopathic aur natural goliyan hain jiske koi side effects bhi nahi hote aap abhi neeche diye gaye link par allergy ki dawa online order karke apne ghar par mangwa sakte hain.

Comments

Popular posts from this blog

Aankhon Ka Phadakna Kya Hai Eye Twitching Causes and Facts Aankhon Ka Fadakna Haqeeqat aur Ghalat Fehmiyan

Hips Badhane Ki Cream Hips Mote Kaise Hote Hain Hips Badhane Ke Tips Peeth Me Dard Ka Ilaj Hips Bada Karne Ki Medicine

Badhazmi Ka ilaj in Hindi Khatti Dakar and Loose Motion Acidity Treatment in Hindi Khatti Dakar Ka Gharelu ilaj