Musalsal Cigarette Peene Wale Log Jaldi Mar Jate Hain Aik Tehqeeq Cigarette Peene Se Kya Nuksan Hai?
Cigarette Peene Se Kya Hota Hai? Cigarette Side Effects in Urdu
Smoking Karne Ke Nuksan in Hindi |
Cigarette Peene Se Kya Kya Hanikarak Hai Cigarette Side Effects In
Hindi
Smoking Karne Se Kya Nuksan Hota Hai
Tehqeeq kay mutabiq lambay arsay tak cigarette noshi karne walay adhyay say zyada log is say peda shuda amraz say halak ho kar maut ki wadi mein utar jate hain. Isliye American State ne cigrate noshi ko taxes ki madad say paisa kamane ka zariya banane ki bajaye awaam ki sehat ko tarjeeh di hai. American State Hawaii mein Cancer (Sartan) aur cigarette say pedashuda dusre amraz say bachao ke liye naye qanoon ki tayari par ghor shuru kar diya gaya hai.
Ye qanoon 2024 mein nafaz hoga jis ke tehat cigarette sirf 100 ya is say ziada umar walay log he khareed sakenge. Hukumat ne cigarette ki kharidari ki umar mein pehle he izafa karke 21 baras kar diya hai. Hawaii duniya kay chand in khitoon mein shamil hai jahan 18 baras kay nojawano ko bhi cigarette nahin milti. Wahan kharidari ki umar mein ahista ahista izafa kar ke 100 saal tak le jaya jayega.
2020 mein 30 saal say kam umar nojawano par cigarette noshi ki mukamal pabandi hogi albata sighar, tambaku (tobacco) aur e-cigarette is qanoon say mustasna honge. Mahireen kay mutabiq cigarette ko insanon ka badtareen dushman kaha gaya hai. Ye bilashuba intehai khatarnak aur zeharalood jins hai agarcha riyasat Hawaii ko cigarette par lagaye gaye taxes say salana 1400 arab rupay ki amdani ho rahi hai magar ye insani sehat kay muqable mein kuch bhi nahin. Riyasat ciggrate noshon par lagne wali pabandi say amdan kay naye zaraye dhondegi.
Comments
Post a Comment