Gulab Ka Arq Banane Ka Tarika Arq e Gulab Se Sugar Ka ilaj Arq E Gulab Banane Ka Tareeqa Arq E Gulab Recipe In Urdu
Arq e Gulab Banane Ki Asan Tarkeeb Rose Water Recipe in Urdu/Hindi |
Gulab K Doday Aur Gulab Ka Arq Gulab Ka Arq Nikalne Ka Tarika
Khawar hussain puchte hain gulab k baray mein zaror batayen aaj kal arq e gulab ka bara charcha hai aap ne shayad suna ho k gulab ka arq sugar (diabetes) k mareezon k liye bhi mufeed hai. Arq e gulab k peene se koi nuksan to nahi hamare ghar mein sugar k mareez hain.
Ansa Fatima puchti hain gulab k doday peene se kya fayda hota hai? Suna hai inki chai (tea) bhi banti hai is mein kya kuch hai jo hamari sehat k liye faida mand hai?
Khawar Sahib! Arq e gulab k mutaliq parh kar aur sun kar main bhi heran hoon k is mein ALLAH TAALA ne kya taseer rakhi hai kayi logon ne bataya hai iske peene se sugar k mareezon ko faida hua hai. Gulab ka arq peene mein koi nuqsan nahi balky fayde hain. Isi tarah jab desi gulab ka phool khilta hai to phir chand dino mein pattiyan gir jati hain. Gulab k doday reh jate hain jab ye apna rang badal kar peelahat ki taraf aa jayen to in mein qudrat ka tohfa vitamin C naturally majood hota hai. In dodon ko ihtiyat se ikatha karke rakh lain.
Ghar Main Arq E Gulab Banane Ka Tarika In
Urdu How To Make Arq E Gulab At Home
Aap ki quwat e mudafiat mein Vitamin C izafa karegi mera ek dost bahir k mulk se gulab k doday le kar aya wo chai mein inko mila kar peeta tha. Nazla zukam aur flu se bachne ke liye arq e gulab k dodon ki chai mufeed hai. Medical store se hum vitamin C ki goliyan khareedty hain lekin ALLAH TAALA ne gulab k in dodon mein hayateen yani Vitamin C ka khazana bhara hai. Agar aap Arq e Gulab apne ghar par mangwana chahte hain to aap online Rose Water ka order kar sakte hain neeche diye gaye link par jayen aur order karke apne ghar par Arq e Gulab mangwayen.
Comments
Post a Comment