Dry Fruits Ke Faide In Urdu Dry Fruit Ke Gun In Hindi All Dry Fruits Benefits In Urdu

Akhrot Dry Fruit Benefits In Hindi Dry Fruits Benefits For Health In Urdu


Dry Fruits Health Benefits in Urdu/Hindi

Chilgoza Dry Fruit Benefits In Hindi Anjeer Dry Fruit Benefits In Hindi



Badam Pista Akhrot Aur Mongphali Kay Faiday


Sardi ka mosam shuru hote he dry fruit ki shops saj jati hain mehngai kay bawajood log inhen kharidte hain pista to quwwat e khareed sey bahir hai aur chilghoza bhi bohat mehnga milta hai. Lekin aaj hum aap ko batanay ja rahe hain kay in mughziat kay kya kya faida hain aur ye kitni miqdar mein khanye chahiye. Har mosam ki apni soghat hai aur sardi ka mosam to inkay baghair pheka lagta hai ye jism ko garmaish dete hain lekin inko zyada miqdar mein nahin khana chahiye. America mein mughziat kay baray mein bohat sari researches ki jati rahin hain hamaray tabeeb muthi bhar chilay huay chilgoza taqat aur tawanai kay liye behtreen dawa aur ghiza mante thy. Aaj kay daur mein kaha ja raha hai kay maghziayat koi bhi hoon wo sehat kay liye mufeed hote hain.

In mein bharpoor ghizaiyat hai in mein umda kisam ki protien, vitamin, fiber aur aisy mufeed ajza shamil hote hain jo insani sehat ko qaim rakhne mein madadgar sabit hote hain. Dil kay liye kharab aur muzar e sehat cholesterol aur chiknai ko bhi door karte hain aur inki ghizaiyat sey cholestorl level bhi kam ho jata hai inko zyada miqdar mein nahin lena chahiye kyun ki in mein calories zyada hone ki wajah sey aap kay wazan mein izafa ho sakta hai. Namkeen pista mazedar hota hai agar aap blood pressure kay mareez hain ye wala pista nahin balky sada pista khayen aur dil ki takleef kay marizon kay liye bhi pista faida mand hai. Badam aur akhrot ko puranay zamanay sey istemal kiya ja raha hai mongphali ko ghareebon ka meva kaha jata hai. Baharhal ye sab sehat kay liye mufeed hai 1 ounce se le kar 3 ounce tak kha sakte hain zyada khanay sey motapa bhi ho sakta hai.

Comments

Popular posts from this blog

Aankhon Ka Phadakna Kya Hai Eye Twitching Causes and Facts Aankhon Ka Fadakna Haqeeqat aur Ghalat Fehmiyan

Badhazmi Ka ilaj in Hindi Khatti Dakar and Loose Motion Acidity Treatment in Hindi Khatti Dakar Ka Gharelu ilaj

Hips Badhane Ki Cream Hips Mote Kaise Hote Hain Hips Badhane Ke Tips Peeth Me Dard Ka Ilaj Hips Bada Karne Ki Medicine