Mun K Chalay Ka Ilaj In Urdu Mouth Sores Treatment In Urdu Muh Mein Chale Ka Totka

Mouth Kay Chalon Ka ilaj At Home In Urdu

Mouth Blisters Treatment In Urdu Muh Ke Chalo Ka Totka




Jab aap kisi masalay dar cheez ko munh mein dalen aur maloom ho kay mun to koi zakham ho chuka hai jis kay liye wo niwala bohat takleef deh sabit hota hai ya danton par brush karte hue kisi zakham par brush takra jaye to ye bhi bohat takleef deta hai. Agar mun mein chote safed nishan gulabi satah par ubhar aya hai to mun mein chalay ya zakham ki nishani hai. Ye chalay chote aur tang zakham hote hain jo mun kay naram tissues mein bante hain jo aap kay gaal mosorohon aur zuban mun kay kisi hissay bhi bhi ho sakte hain.



Khaas taur par jab koi mirch masala khaya jaye balkay aksar pani peena bhi aziyat ka bais banta hai. Abhi ye baat to wazeh nahi kay in chaalon kay ubhar aany ki asal wajah kya hai lekin kuch cheeozn kay baray mein khayal hai kay wo muh kay andar chalon ki wajah bante hain. Mayo Clinic kay mutabiq taqat sey brush karna, masaly dar ya tezabi ghizayen, harmones mein tabdeeliyan aur tanau waghera in chalon ka sabab bante hain. Mahireen ka manna hai kay ye chalay autoimmune sir garmion ka nateeja hote hain. Aur aisa waqt hota hai jab jism kisi virus kay khilaf larte huay khud ko he nishana bana leta hai. Aam taur par ye chalay sehat bakhsh ghiza kay istemal sey aik hafty kay andar theek ho jate hain. Jab kay masalay dar, tezabi aur chips jesi cheezon sey doori ikhtiyar karna hoti hai aur danton par brush ihtiyat kay sath karna parta hai.


Mun K Chalay Ka Ilaj In Urdu Munh Ke Chalo Ki Dawa




Agar ye chalay aik haftay sey zyada der rahen khoon nikalne lage ya waqt kay sath baray hone lage to doctor sey raju karna zarori hai kay kahin ye masla sangeen maslay jaise mun ka cancer ka nateeja to nahin? Chand gharelu totkay chalay ya zakham ko kam ya khatam karne mein kafi had tak madad mil sakti hai baking soda cline hota hai jo is tezabi kefiyat ko mamool par lata haijo mun ke chalon ka sabab bante hain jab kay ye bacteria ko khatam karke in chalon kay fori ilaj mein madad deta hai. Aik chaye ka chamach baking soda adha cup garam pani mein milayen aur iss sey kuliyan kar lain aik istemal shuda teabag ko 5 minute tak chalay ya zakham par lagaye rakhen to relief mehsoos hoga.



Comments

Popular posts from this blog

Aankhon Ka Phadakna Kya Hai Eye Twitching Causes and Facts Aankhon Ka Fadakna Haqeeqat aur Ghalat Fehmiyan

Badhazmi Ka ilaj in Hindi Khatti Dakar and Loose Motion Acidity Treatment in Hindi Khatti Dakar Ka Gharelu ilaj

Hips Badhane Ki Cream Hips Mote Kaise Hote Hain Hips Badhane Ke Tips Peeth Me Dard Ka Ilaj Hips Bada Karne Ki Medicine